Sher of Abid Malik
baḌe sukūn se afsurdagī meñ rahtā huuñ
maiñ apne sāmne vaalī galī meñ rahtā huuñ
baDe sukun se afsurdagi mein rahta hun
main apne samne wali gali mein rahta hun
hazār ta.ane sunegā ḳhajil nahīñ hogā
ye vo hujūm hai jo mushta.il nahīñ hogā
hazar tane sunega KHajil nahin hoga
ye wo hujum hai jo mushtail nahin hoga
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zaḳhm aur peḌ ne ik saath duā māñgī hai
dekhiye pahle yahāñ kaun harā hotā hai
zaKHm aur peD ne ek sath dua mangi hai
dekhiye pahle yahan kaun hara hota hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
falak se kaise mirā ġham dikhā.ī degā tujhe
kabhī zamīn pe aa aur zamīñ se dekh mujhe
falak se kaise mera gham dikhai dega tujhe
kabhi zamin pe aa aur zamin se dekh mujhe
pūchhtā phirtā huuñ maiñ apnā pata jañgal se
āḳhirī baar daraḳhtoñ ne mujhe dekhā thā
puchhta phirta hun main apna pata jangal se
aaKHiri bar daraKHton ne mujhe dekha tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
miyāñ ye ishq to sab TuuT kar hī karte haiñ
kisī se hijr agar vālihāna ho jaa.e
miyan ye ishq to sab TuT kar hi karte hain
kisi se hijr agar walihana ho jae
sab mujhe DhūñDne nikle haiñ bujhā kar āñkheñ
baat niklī hai ki maiñ ḳhvāb meñ paayā gayā huuñ
sab mujhe DhunDne nikle hain bujha kar aankhen
baat nikli hai ki main KHwab mein paya gaya hun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye mohabbat koī anjān sī shai hotī thī
kyā ye kam hai ki ise terī badaulat samjhe
ye mohabbat koi anjaan si shai hoti thi
kya ye kam hai ki ise teri badaulat samjhe
nikāl laa.e haiñ sab log us ke aks meñ naqs
ye ā.īna abhī tayyār hone vaalā hai
nikal lae hain sab log us ke aks mein naqs
ye aaina abhi tayyar hone wala hai
abhī se is meñ shabāhat mirī jhalakne lagī
abhī to dasht meñ do chaar din guzāre haiñ
abhi se is mein shabahat meri jhalakne lagi
abhi to dasht mein do chaar din guzare hain