Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Alok Yadav's Photo'

Alok Yadav

1967 | Delhi, India

Sher of Alok Yadav

550
Favorite

SORT BY

na.ī nasloñ ke hāthoñ meñ bhī tābinda rahegā

maiñ mil jā.ūñgā miTTī meñ qalam zinda rahegā

nai naslon ke hathon mein bhi tabinda rahega

main mil jaunga miTTi mein qalam zinda rahega

dilkashī thī unsiyat thī mohabbat junūn

sab marāhil tujh se jo mansūb the achchhe lage

dilkashi thi unsiyat thi ya mohabbat ya junun

sab marahil tujh se jo mansub the achchhe lage

pyaar donoñ pe āḳhir jurm sābit ho gayā

ye farishte aaj jannat se nikāle jā.eñge

pyar ka donon pe aaKHir jurm sabit ho gaya

ye farishte aaj jannat se nikale jaenge

vaa.iz safar to merā bhī thā ruuh taraf

par kyā karūñ ki raah meñ ye jism aa paḌā

waiz safar to mera bhi tha ruh ki taraf

par kya karun ki rah mein ye jism aa paDa

husn dilkashī pe naaz na kar

aa.ine bad-nazar bhī hote haiñ

husn ki dilkashi pe naz na kar

aaine bad-nazar bhi hote hain

mujh ko jannat ke nazāre bhī nahīñ jachte haiñ

shahr-e-jānāñ tasavvur meñ basā hai sāhab

mujh ko jannat ke nazare bhi nahin jachte hain

shahr-e-jaanan hi tasawwur mein basa hai sahab

sun rahā huuñ ki vo ā.eñge hañsāne mujh ko

āñsūo tum bhī zarā rañg jamā.e rakhnā

sun raha hun ki wo aaenge hansane mujh ko

aansuo tum bhi zara rang jamae rakhna

yuuñ nibhātā huuñ maiñ rishte 'ālok'

be-gunāhī sazā ho jaise

yun nibhata hun main rishte 'alok'

be-gunahi ki saza ho jaise

mire liye haiñ musībat ye ā.ina-ḳhāne

yahāñ zamīr mirā be-naqāb rahtā hai

mere liye hain musibat ye aaina-KHane

yahan zamir mera be-naqab rahta hai

dhāvā bolegā bahut jald ḳhizāñ lashkar

shāḳh ko neza karūñ phuul ko talvār karūñ

dhawa bolega bahut jald KHizan ka lashkar

shaKH ko neza karun phul ko talwar karun

had-e-imkān se aage maiñ jaanā chāhtā huuñ par

abhī īmān aadhā hai abhī laġhzish adhūrī hai

had-e-imkan se aage main jaana chahta hun par

abhi iman aadha hai abhi laghzish adhuri hai

ek umr se tujhe maiñ be-uzr rahā huuñ

bhī to pyaas merī ai jaam liyā kar

ek umr se tujhe main be-uzr pi raha hun

tu bhi to pyas meri ai jam pi liya kar

Recitation

Speak Now