Sher of Amit Goswami
maiñ ne chāhā hai jise yuuñ to mukammal hai magar
ik kamī hai ki use urdu nahīñ aatī hai
main ne chaha hai jise yun to mukammal hai magar
ek kami hai ki use urdu nahin aati hai
tum ko hāthoñ kī lakīroñ meñ nahīñ likh paayā
is liye ġhazloñ meñ likh kar hī talāfī kar lī
tum ko hathon ki lakiron mein nahin likh paya
is liye ghazlon mein likh kar hi talafi kar li
tujh se jab guftugū nahīñ hotī
ḳhud se terī hī baat kartā huuñ
tujh se jab guftugu nahin hoti
KHud se teri hi baat karta hun
ab vo nahīñ hai phir bhī daftar se sīdhā ghar aatā huuñ
Dar lagtā hai der huī to maañ mujh ko phir DañTegī
ab wo nahin hai phir bhi daftar se sidha ghar aata hun
Dar lagta hai der hui to man mujh ko phir DanTegi
kisī kā naam tere naam se mansūb hai varna
maiñ tere naam kā tattō kalā.ī meñ banā letā
kisi ka nam tere nam se mansub hai warna
main tere nam ka tattoo kalai mein bana leta
do ek roz ke faaqe to kitnī baar hue
par ab ke vasl kā ye qaht jān-levā hai
do ek roz ke faqe to kitni bar hue
par ab ke wasl ka ye qaht jaan-lewa hai
ye bādal ye dhuñdhlake ye phuvāreñ aur ye tanhā.ī
ye mausam to tumhāre saath meñ hone kā mausam hai
ye baadal ye dhundhlake ye phuwaren aur ye tanhai
ye mausam to tumhaare sath mein hone ka mausam hai
zāhiran tasvīr meñ lab par hañsī to hai magar
ai musavvir tujh ko to ma.alūm hai andar kā dukh
zahiran taswir mein lab par hansi to hai magar
ai musawwir tujh ko to malum hai andar ka dukh
mujhe na Dar hai qayāmat kā ab na ḳhauf-e-ajal
maiñ dard-e-tark-e-mulāqāt sah ke aaya huuñ
mujhe na Dar hai qayamat ka ab na KHauf-e-ajal
main dard-e-tark-e-mulaqat sah ke aaya hun
ab us ke lahje meñ aḳhbār kī sī ḳhushkī hai
ham ab bhī saath meñ hote to vo ġhazal hotī
ab us ke lahje mein aKHbar ki si KHushki hai
hum ab bhi sath mein hote to wo ghazal hoti
sub.h kī chaa.e se phir aa.iiñ yaad
tere pahlū meñ chaa.e kī shāmeñ
subh ki chae se phir aain yaad
tere pahlu mein chae ki shamen
ho duur pa yuuñ mujh meñ samā.ī ho ki jaise
ashk āñkhoñ se nikleñ bhī to nam rahtī haiñ āñkheñ
ho dur pa yun mujh mein samai ho ki jaise
ashk aankhon se niklen bhi to nam rahti hain aankhen
hai tīrgī se jang muqābil aur apne saath
jugnū kī saf hai jashn-e-charāġhāñ nahīñ to kyā
hai tirgi se jang muqabil aur apne sath
jugnu ki saf hai jashn-e-charaghan nahin to kya