Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Arshad Kamal's Photo'

Arshad Kamal

1955 | Delhi, India

Sher of Arshad Kamal

mujh ko talāsh karte ho auroñ ke darmiyāñ

hairān ho rahā huuñ tumhāre gumān par

mujh ko talash karte ho auron ke darmiyan

hairan ho raha hun tumhaare guman par

vo aa.e to lagā ġham mudāvā ho gayā hai

magar ye kyā ki ġham kuchh aur gahrā ho gayā hai

wo aae to laga gham ka mudawa ho gaya hai

magar ye kya ki gham kuchh aur gahra ho gaya hai

kabhī un nahīñ aanā ḳhabar ke zail meñ thā

magar ab un aanā tamāshā ho gayā hai

kabhi un ka nahin aana KHabar ke zail mein tha

magar ab un ka aana hi tamasha ho gaya hai

vo zamāne taġhayyur ho ki mausam mizāj

be-zarar donoñ haiñ nairañgi-e-ādām ke sivā

wo zamane ka taghayyur ho ki mausam ka mizaj

be-zarar donon hain nairangi-e-adam ke siwa

bilā-sabab to koī barg bhī nahīñ hiltā

apne aaj pe asarāt kal ke dekh zarā

bila-sabab to koi barg bhi nahin hilta

tu apne aaj pe asaraat kal ke dekh zara

ḳhāk-e-sahrā to bahut duur hai ai vahshat-e-dil

kyuuñ na zehnoñ pe jamī gard uḌā jaa.e

KHak-e-sahra to bahut dur hai ai wahshat-e-dil

kyun na zehnon pe jami gard uDa di jae

ye maanā sail-e-ashk-e-ġham nahīñ kuchh kam magar 'arshad'

zarā utrā nahīñ dariyā ki banjar jaag uThtā hai

ye mana sail-e-ashk-e-gham nahin kuchh kam magar 'arshad'

zara utra nahin dariya ki banjar jag uThta hai

Recitation

Speak Now