Sher of Asar Akbarabadi
ulfat kā hai maza ki 'asar' ġham bhī saath hoñ
tārīkiyāñ bhī saath raheñ raushnī ke saath
ulfat ka hai maza ki 'asar' gham bhi sath hon
tarikiyan bhi sath rahen raushni ke sath
kitnā mushkil hai ḳhud-baḳhud ronā
be-ḳhudī se rihā kare koī
kitna mushkil hai KHud-baKHud rona
be-KHudi se riha kare koi
hai ajab sī kashmakash dil meñ 'asar'
kis ko bhūleñ kis ko rakkheñ yaad ham
hai ajab si kashmakash dil mein 'asar'
kis ko bhulen kis ko rakkhen yaad hum
fikr-e-jahān dard-e-mohabbat firāq-e-yār
kyā kahiye kitne ġham haiñ mirī zindagī ke saath
fikr-e-jahan dard-e-mohabbat firaq-e-yar
kya kahiye kitne gham hain meri zindagi ke sath
zindagī ik na.ī raah par
be-irāda hī chalne lagī
zindagi ek nai rah par
be-irada hi chalne lagi
ulfat ke badle un se milā dard-e-lā-ilāj
itnā baḌhe hai dard maiñ jitnī davā karūñ
ulfat ke badle un se mila dard-e-la-ilaj
itna baDhe hai dard main jitni dawa karun
zindagī tujh se ye gilā hai mujhe
koī apnā nahīñ milā hai mujhe
zindagi tujh se ye gila hai mujhe
koi apna nahin mila hai mujhe
saaya bhī saath chhoḌ gayā ab to ai 'asar'
phir kis liye maiñ aaj ko kal se judā karūñ
saya bhi sath chhoD gaya ab to ai 'asar'
phir kis liye main aaj ko kal se juda karun
rāsta rok liyā merā kisī bachche ne
is meñ koī to 'asar' merī bhalā.ī hogī
rasta rok liya mera kisi bachche ne
is mein koi to 'asar' meri bhalai hogi
udaas ho na tū ai dil kisī ke rone se
ḳhushī ke saath ġhamoñ ko bikharte dekhā hai
udas ho na tu ai dil kisi ke rone se
KHushi ke sath ghamon ko bikharte dekha hai
junūñ kī ḳhair ho tujh ko 'asar' milā sab kuchh
ye kaifiyat bhī zarūrī thī āgahī ke liye
junun ki KHair ho tujh ko 'asar' mila sab kuchh
ye kaifiyat bhi zaruri thi aagahi ke liye
jo log Darte haiñ rātoñ ko apne saa.e se
unhīñ ko din ke ujāloñ meñ Darte dekhā hai
jo log Darte hain raaton ko apne sae se
unhin ko din ke ujalon mein Darte dekha hai
ham hue dasht-e-navard phir bhī na dekhā tujh ko
zindagī itnā batā de tū kahāñ hotī hai
hum hue dasht-e-naward phir bhi na dekha tujh ko
zindagi itna bata de tu kahan hoti hai