Sher of Ashique Akbarabadi
va.ada-e-vasl gar kisī se nahīñ
aap kyuuñ be-qarār phirte haiñ
wada-e-wasl gar kisi se nahin
aap kyun be-qarar phirte hain
tire kūche meñ koī huur aa jaatī to maiñ kahtā
ki vo jannat to kyā jannat hai jannat aisī hotī hai
tere kuche mein koi hur aa jati to main kahta
ki wo jannat to kya jannat hai jannat aisi hoti hai
apnā saanī vo aap hī nikle
aa.ina bhī dikhā ke dekh liyā
apna sani wo aap hi nikle
aaina bhi dikha ke dekh liya
apne mauqe pe har ik baat bhalī hotī hai
shab-e-furqat meñ ye sadme bhī mazā dete haiñ
apne mauqe pe har ek baat bhali hoti hai
shab-e-furqat mein ye sadme bhi maza dete hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zikr kartā hai is tarah merā
mujh ko goyā miTā.e jaatā hai
zikr karta hai is tarah mera
mujh ko goya miTae jata hai
agar nazāra hai manzūr ḳhastā-hāloñ kā
to aao khol deñ juuḌā tumhāre bāloñ kā
agar nazara hai manzur KHasta-haalon ka
to aao khol den juDa tumhaare baalon ka
ek rutba hai tire dar pe gadā-o-shah kā
āsmāñ kaae liye phirtā hai mehr-o-mah kā
ek rutba hai tere dar pe gada-o-shah ka
aasman kae liye phirta hai mehr-o-mah ka
so ga.e sunte hī sunte vo dil-e-zār kā haal
jis ko ham samjhe the afsūñ vahī afsāna huā
so gae sunte hi sunte wo dil-e-zar ka haal
jis ko hum samjhe the afsun wahi afsana hua
tū sar na gūñdh ki shāgird hone vaalā hai
mirā nasīb tire lambe lambe bāloñ kā
tu sar na gundh ki shagird hone wala hai
mera nasib tere lambe lambe baalon ka
sāqī-e-gulfām ne rakkhī to hai bhar kar sharāb
Dar hai uḌ jaa.e na shīshe se parī ban kar sharāb
saqi-e-gulfam ne rakkhi to hai bhar kar sharab
Dar hai uD jae na shishe se pari ban kar sharab
jalva nigāh meñ hai kisī be-niyāz kā
putlī hamārī aañkh kī putlā hai naaz kā
jalwa nigah mein hai kisi be-niyaz ka
putli hamari aankh ki putla hai naz ka
aa.ine maiñ dikhā ke kahtā huuñ
aap hī haiñ ki dūsrā kahiye
aaine main dikha ke kahta hun
aap hi hain ki dusra kahiye
aarzū ik but kī le kar jaate haiñ ka.abe ko ham
turfa tohfa paas hai ahl-e-haram ke vāste
aarzu ek but ki le kar jate hain kabe ko hum
turfa tohfa pas hai ahl-e-haram ke waste
pahlū meñ agar dil hai to tū dil meñ hai mere
go nañg-e-ḳhalā.eq huuñ magar jān-e-jahāñ huuñ
pahlu mein agar dil hai to tu dil mein hai mere
go nang-e-KHalaeq hun magar jaan-e-jahan hun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
na chitvan aap kī Thahrī na dil mirā Thahrā
use sukūñ ho to is ko bhī kuchh qarār rahe
na chitwan aap ki Thahri na dil mera Thahra
use sukun ho to is ko bhi kuchh qarar rahe
ḳhāk-e-āshiq se jo ugtā hai muġhīlāñ kā daraḳht
us kī mizhgāñ kā hai marqad meñ bhī khaTkā baaqī
KHak-e-ashiq se jo ugta hai mughilan ka daraKHt
us ki mizhgan ka hai marqad mein bhi khaTka baqi
yā ilāhī is dil-e-betāb kī ta.amīr meñ
kis ne patthar rakh diyā thā ishq kī buniyād kā
ya ilahi is dil-e-betab ki tamir mein
kis ne patthar rakh diya tha ishq ki buniyaad ka
gadā-e-kūcha-e-jānāñ huuñ martaba hai baḌā
ki mere naam hai jāgīr be-navā.ī kī
gada-e-kucha-e-jaanan hun martaba hai baDa
ki mere nam hai jagir be-nawai ki
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mujhe tum dekh kar samjho ki chāhat aisī hotī hai
mohabbat vo burī shai hai ki hālat aisī hotī hai
mujhe tum dekh kar samjho ki chahat aisi hoti hai
mohabbat wo buri shai hai ki haalat aisi hoti hai
vo nairañgiyāñ un ke rone meñ bhī
ki hañste rahe sab hasīñ der tak
wo nairangiyan un ke rone mein bhi
ki hanste rahe sab hasin der tak