Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Asif Raza's Photo'

Asif Raza

Well-known Pakistani poet residing in America, known for his Nazms; published several collections of his poetry

Well-known Pakistani poet residing in America, known for his Nazms; published several collections of his poetry

Sher of Asif Raza

ajnabī mujh se aa gale mil le

aaj ik dost yaad aa.e mujhe

ajnabi mujh se aa gale mil le

aaj ek dost yaad aae mujhe

bhuul baiThā huuñ maiñ zamāne ko

ab zamāna bhī bhuul jaa.e mujhe

bhul baiTha hun main zamane ko

ab zamana bhi bhul jae mujhe

āñsuoñ ko fuzūl mat samjho

ye baḌe qīmtī sahāre haiñ

aansuon ko fuzul mat samjho

ye baDe qimti sahaare hain

ye mirī bazm nahīñ hai lekin

dil lagā hai to lagā rahne do

ye meri bazm nahin hai lekin

dil laga hai to laga rahne do

terā merā hai gumāñ rishta

hai merī tirī ījād huuñ maiñ

tera mera hai guman ka rishta

tu hai meri teri ijad hun main

tā-ki na nigāhoñ ko andhere nazar aa.eñ

ā.īna ujāloñ ne ye chamkāyā huā hai

ta-ki na nigahon ko andhere nazar aaen

aaina ujalon ne ye chamkaya hua hai

ye dil meñ vasvasa kyā pal rahā hai

tirā milnā bhī mujh ko khal rahā hai

ye dil mein waswasa kya pal raha hai

tera milna bhi mujh ko khal raha hai

sirf maiñ apnī kahānī nahīñ

sun mujhe terī bhī rūdād huuñ maiñ

sirf main apni kahani hi nahin

sun mujhe teri bhi rudad hun main

jatan to ḳhuub kiye us ne Tālne ke magar

maiñ us bazm se us ke javāb tak na uThā

jatan to KHub kiye us ne Talne ke magar

main us ki bazm se us ke jawab tak na uTha

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now