Sher of Danish Naqwi
dekho mujhe ab merī jagah se na hilānā
phir tum mujhe tartīb se rakh kar nahīñ jaate
dekho mujhe ab meri jagah se na hilana
phir tum mujhe tartib se rakh kar nahin jate
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aisī tasvīr banā rote hue ḳhush bhī lagūñ
ġham kī tarsīl to ho ġham kā tamāsha na bane
aisi taswir bana rote hue KHush bhi lagun
gham ki tarsil to ho gham ka tamasha na bane
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tū dekh lenā hamāre bachchoñ ke baal jaldī safed hoñge
hamārī chhoḌī huī udāsī se saat nasleñ udaas hoñgī
tu dekh lena hamare bachchon ke baal jaldi safed honge
hamari chhoDi hui udasi se sat naslen udas hongi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jaate hue kamre kī kisī chiiz ko chhū de
maiñ yaad karūñgā ki tire haath lage the
jate hue kamre ki kisi chiz ko chhu de
main yaad karunga ki tere hath lage the
-
Tag : Yaad
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye jis kī beTī ke sar kī chādar ka.ī jagah se phaTī huī hai
tum us ke gaañv meñ jā ke dekho to aadhī fasleñ kapās hoñgī
ye jis ki beTi ke sar ki chadar kai jagah se phaTi hui hai
tum us ke ganw mein ja ke dekho to aadhi faslen kapas hongi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download