Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Faizan Hashmi's Photo'

Faizan Hashmi

1986 | Pakistan

Sher of Faizan Hashmi

bahut qadīm nahīñ kal vāqi.a hai ye

maiñ is zamīn pe utrā thā terī zaat ke saath

bahut qadim nahin kal ka waqia hai ye

main is zamin pe utra tha teri zat ke sath

bas yahī soch ke rahtā huuñ maiñ zinda is meñ

ye mohabbat hai koī mar nahīñ saktā is meñ

bas yahi soch ke rahta hun main zinda is mein

ye mohabbat hai koi mar nahin sakta is mein

maiñ apnī ḳhushiyāñ akele manāyā kartā huuñ

yahī vo ġham hai jo tujh se chhupā huā hai mirā

main apni KHushiyan akele manaya karta hun

yahi wo gham hai jo tujh se chhupa hua hai mera

vo kyā ḳhushī thī jo dil meñ bahāl rahtī thī

magar vaj.h nahīñ bantī thī muskurāne

wo kya KHushi thi jo dil mein bahaal rahti thi

magar wajh nahin banti thi muskurane ki

terā bosa aisā pyāla hai jis meñ se

paanī piine vaalā pyāsā rah jā.egā

tera bosa aisa pyala hai jis mein se

pani pine wala pyasa rah jaega

maiñ us ko ḳhvāb meñ kuchh aise dekhā kartā thā

tamām raat vo sote meñ muskurātī thī

main us ko KHwab mein kuchh aise dekha karta tha

tamam raat wo sote mein muskuraati thi

jis parī par mar miTe the vo parī-zādī na thī

ba.ad meñ jaanā ki us ke donoñ par hote the ham

jis pari par mar miTe the wo pari-zadi na thi

baad mein jaana ki us ke donon par hote the hum

ḳhalā meñ girvī rakkhā apne saare ḳhvāboñ ko

aur is zamīn pe chhoTā ghar liyā maiñ ne

KHala mein girwi rakkha apne sare KHwabon ko

aur is zamin pe chhoTa sa ghar liya main ne

terī sair ke liye aatā rahūñgā baar baar

terā thā saat din shauq merī hai umr bhar sair

teri hi sair ke liye aata rahunga bar bar

tera tha sat din ka shauq meri hai umr bhar ki sair

Recitation

Speak Now