Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Faizi

1965 | Pakistan

Sher of Faizi

zulm kartā huuñ zulm sahtā huuñ

maiñ kabhī chain se rahā nahīñ

zulm karta hun zulm sahta hun

main kabhi chain se raha hi nahin

paḌ gayā hai ḳhudā se kaam mujhe

aur ḳhudā koī pata nahīñ

paD gaya hai KHuda se kaam mujhe

aur KHuda ka koi pata hi nahin

maiñ sub.h ḳhvāb se jaagā to ye ḳhayāl aayā

jo raat mere barābar thā kyā huā us

main subh KHwab se jaga to ye KHayal aaya

jo raat mere barabar tha kya hua us ka

sochtā kyā huuñ tire baare meñ chalte chalte

zarā pūchhnā ye baat Thahar kar mujh se

sochta kya hun tere bare mein chalte chalte

tu zara puchhna ye baat Thahar kar mujh se

jaane maiñ kaun thā logoñ se bharī duniyā meñ

merī tanhā.ī ne shīshe meñ utārā hai mujhe

jaane main kaun tha logon se bhari duniya mein

meri tanhai ne shishe mein utara hai mujhe

kise DhūñDtā huuñ maiñ apne qurb-o-javār meñ

ai firāq-e-sohbat-e-dostāñ mujhe kyā huā

kise DhunDta hun main apne qurb-o-jawar mein

ai firaq-e-sohbat-e-dostan mujhe kya hua

achchhā hai ne in dinoñ dekhā nahīñ mujhe

duniyā ne tere kaam chhoḌā nahīñ mujhe

TRANSLATION

It’s nice that you have not seen me in these days,

The world has not left me any good for thy grace.

Sagar Akbarabadi

achchha hai tu ne in dinon dekha nahin mujhe

duniya ne tere kaam ka chhoDa nahin mujhe

TRANSLATION

It’s nice that you have not seen me in these days,

The world has not left me any good for thy grace.

Sagar Akbarabadi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now