Sher of Farooq Nazki
aap kī tasvīr thī aḳhbār meñ
kyā sabab hai aap ghar jaate nahīñ
aap ki taswir thi aKHbar mein
kya sabab hai aap ghar jate nahin
jab koī naujavān martā hai
aarzū kā jahān martā hai
jab koi naujawan marta hai
aarzu ka jahan marta hai
tū ḳhudā hai to bajā mujh ko Darātā kyuuñ hai
jā mubārak ho tujhe tere karam kā saaya
tu KHuda hai to baja mujh ko Daraata kyun hai
ja mubarak ho tujhe tere karam ka saya
sunā hai log vahāñ mujh se ḳhaar khāte haiñ
fasāna aam jahāñ merī bebasī kā hai
suna hai log wahan mujh se KHar khate hain
fasana aam jahan meri bebasi ka hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mujh se kyā pūchhte ho naam pata
maiñ to bas aap kā hī saaya huuñ
mujh se kya puchhte ho nam pata
main to bas aap ka hi saya hun
sitāre botī rahīñ niiñd se tahī āñkheñ
idhar ye haal ki dāman bhī tar nahīñ hotā
sitare boti rahin nind se tahi aankhen
idhar ye haal ki daman bhi tar nahin hota
kāñch ke alfāz kāġhaz par na rakh
sañg-e-ma.anī ban ke Takrā.ūñgā maiñ
kanch ke alfaz kaghaz par na rakh
sang-e-mani ban ke Takraunga main
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
qadroñ kī hadeñ toḌ na.ī tarah nikāl
dam tujh meñ agar hai to bāġhī ho jā
qadron ki haden toD nai tarah nikal
dam tujh mein agar hai to baghi ho ja
bahkī huī rūhoñ ko tasallī de kar
kho.e hue ajsām kī jannat ho jā
bahki hui ruhon ko tasalli de kar
khoe hue ajsam ki jannat ho ja
bhaTak na jaatā agar zaat ke bayābāñ meñ
to merā naqsh-e-qadam merā rāhbar hotā
bhaTak na jata agar zat ke bayaban mein
to mera naqsh-e-qadam mera rahbar hota
hisār-e-ḳhauf-o-hirās meñ hai butān-e-vahm-o-gumāñ kī bastī
mujhe ḳhabar hī nahīñ ki ab maiñ junūb meñ yā shumāl meñ huuñ
hisar-e-KHauf-o-hiras mein hai butan-e-wahm-o-guman ki basti
mujhe KHabar hi nahin ki ab main junub mein ya shumal mein hun
junūñ-āsār mausam kā pata koī nahīñ degā
tujhe ai dasht-e-tanhā.ī sadā koī nahīñ degā
junun-asar mausam ka pata koi nahin dega
tujhe ai dasht-e-tanhai sada koi nahin dega
sañg-parastoñ kī bastī meñ shīsha-garoñ kī ḳhair nahīñ hai
jin kī āñkheñ nuur se ḳhālī un ke dil haiñ aahan aahan
sang-paraston ki basti mein shisha-garon ki KHair nahin hai
jin ki aankhen nur se KHali un ke dil hain aahan aahan
maiñ huuñ 'muztar' badan kī nagrī meñ
mere hisse meñ lā-makāñ likhnā
main hun 'muztar' badan ki nagri mein
mere hisse mein la-makan likhna
ab faqīrī meñ koī baat nahīñ
hashmat-o-jāh-o-karr-o-far de de
ab faqiri mein koi baat nahin
hashmat-o-jah-o-karr-o-far de de