Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Fazil Jamili's Photo'

Fazil Jamili

1968 | Karachi, Pakistan

Prominent poet and journalist who has also been associated with television channel.

Prominent poet and journalist who has also been associated with television channel.

Sher of Fazil Jamili

3.1K
Favorite

SORT BY

purāne yaar bhī aapas meñ ab nahīñ milte

na jaane kaun kahāñ dil lagā ke baiTh gayā

purane yar bhi aapas mein ab nahin milte

na jaane kaun kahan dil laga ke baiTh gaya

zindagī ho to ka.ī kaam nikal aate haiñ

yaad ā.ūñgā kabhī maiñ bhī zarūrat meñ use

zindagi ho to kai kaam nikal aate hain

yaad aaunga kabhi main bhi zarurat mein use

mire liye na ruk sake to kyā huā

jahāñ kahīñ Thahar ga.e ho ḳhush raho

mere liye na ruk sake to kya hua

jahan kahin Thahar gae ho KHush raho

sab apne apne diyoñ ke asiir paa.e ga.e

maiñ chāñd ban ke ka.ī āñganoñ meñ utrā huuñ

sab apne apne diyon ke asir pae gae

main chand ban ke kai aanganon mein utra hun

muddat ke ba.ad aaj maiñ office nahīñ gayā

ḳhud apne saath baiTh ke din bhar sharāb

muddat ke baad aaj main office nahin gaya

KHud apne sath baiTh ke din bhar sharab pi

mire vajūd ko parchhā.iyoñ ne toḌ diyā

maiñ ik hisār thā tanhā.iyoñ ne toḌ diyā

mere wajud ko parchhaiyon ne toD diya

main ek hisar tha tanhaiyon ne toD diya

misāl-e-sham.a jalā huuñ dhuāñ bikhrā huuñ

maiñ intizār har kaifiyat se guzrā huuñ

misal-e-shama jala hun dhuan sa bikhra hun

main intizar ki har kaifiyat se guzra hun

safed-poshī-e-dil bharam bhī rakhnā hai

tirī ḳhushī ke liye terā ġham bhī rakhnā hai

safed-poshi-e-dil ka bharam bhi rakhna hai

teri KHushi ke liye tera gham bhi rakhna hai

maiñ ik thakā huā insān aur kyā kartā

tarah tarah ke tasavvur ḳhudā se bāñdh liye

main ek thaka hua insan aur kya karta

tarah tarah ke tasawwur KHuda se bandh liye

tum kabhī ek nazar merī taraf bhī dekho

ik tavaqqo to hai koī guzārish to nahīñ

tum kabhi ek nazar meri taraf bhi dekho

ek tawaqqo hi to hai koi guzarish to nahin

ik ta.alluq thā jise aag lagā us ne

ab mujhe dekh rahā hai vo dhuāñ hote hue

ek talluq tha jise aag laga di us ne

ab mujhe dekh raha hai wo dhuan hote hue

hamāre kamre meñ us yādeñ nahīñ haiñ 'fāzil'

kahīñ kitābeñ kahīñ risāle paḌe hue haiñ

hamare kamre mein us ki yaaden nahin hain 'fazil'

kahin kitaben kahin risale paDe hue hain

maiñ apne aap se aage nikalne vaalā thā

so ḳhud ko apnī nazar se girā ke baiTh gayā

main apne aap se aage nikalne wala tha

so KHud ko apni nazar se gira ke baiTh gaya

maiñ apnī qaid meñ thā aur maiñ ek din

kar ke apne aap ko āzād le jaane lagā

main hi apni qaid mein tha aur main hi ek din

kar ke apne aap ko aazad le jaane laga

ab kaun ke sāhib-e-mimbar se ye kahe

kyuuñ ḳhuun rahā hai sitamgar sharāb

ab kaun ja ke sahib-e-mimbar se ye kahe

kyun KHun pi raha hai sitamgar sharab pi

maiñ aksar kho jaatā huuñ galī-kūchoñ ke jañgal meñ

magar phir bhī tire ghar nishānī yaad rakhtā huuñ

main aksar kho sa jata hun gali-kuchon ke jangal mein

magar phir bhi tere ghar ki nishani yaad rakhta hun

is cocktail to nasha kuchh aur hai

ġham ko ḳhushī ke saath milā kar sharāb

is cocktail ka to nasha hi kuchh aur hai

gham ko KHushi ke sath mila kar sharab pi

ziyāda der use dekhnā bhī hai 'fāzil'

aur apne aap ko thoḌā kam bhī rakhnā hai

ziyaada der use dekhna bhi hai 'fazil'

aur apne aap ko thoDa sa kam bhi rakhna hai

guzartī hai jo dil par vo kahānī yaad rakhtā huuñ

maiñ har gul-rañg chehre ko zabānī yaad rakhtā huuñ

TRANSLATION

Whatever does my heart suffer, that tale I do remember,

Each and every flowery-face, by heart I do remember

Sagar Akbarabadi

guzarti hai jo dil par wo kahani yaad rakhta hun

main har gul-rang chehre ko zabani yaad rakhta hun

TRANSLATION

Whatever does my heart suffer, that tale I do remember,

Each and every flowery-face, by heart I do remember

Sagar Akbarabadi

Recitation

Speak Now