Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Fazl Tabish's Photo'

Fazl Tabish

1933 - 1995 | Bhopal, India

Sher of Fazl Tabish

919
Favorite

SORT BY

na kar shumār ki har shai ginī nahīñ jaatī

ye zindagī hai hisāboñ se nahīñ jaatī

na kar shumar ki har shai gini nahin jati

ye zindagi hai hisabon se ji nahin jati

sunte haiñ ki in rāhoñ meñ majnūñ aur farhād luTe

lekin ab aadhe raste se lauT ke vāpas jaa.e kaun

sunte hain ki in rahon mein majnun aur farhad luTe

lekin ab aadhe raste se lauT ke wapas jae kaun

kamre meñ aa ke baiTh ga.ī dhuup mez par

bachchoñ ne khilkhilā ke mujhe bhī jagā diyā

kamre mein aa ke baiTh gai dhup mez par

bachchon ne khilkhila ke mujhe bhi jaga diya

raat ko ḳhvāb bahut dekhe haiñ

aaj ġham kal se zarā halkā hai

raat ko KHwab bahut dekhe hain

aaj gham kal se zara halka hai

vahī do-chār chehre ajnabī se

unhīñ ko phir se dohrānā paḌegā

wahi do-chaar chehre ajnabi se

unhin ko phir se dohrana paDega

ye sūraj kyuuñ bhaTaktā phir rahā hai

mire andar utar jaatā to sotā

ye suraj kyun bhaTakta phir raha hai

mere andar utar jata to sota

ye bastī kab darindoñ se thī ḳhālī

maiñ phir bhī Thiik logoñ meñ rahā huuñ

ye basti kab darindon se thi KHali

main phir bhi Thik logon mein raha hun

sūraj ūñchā ho kar mere āñgan meñ bhī aayā hai

pahle nīchā thā to ūñche mīnāroñ par baiThā thā

suraj uncha ho kar mere aangan mein bhi aaya hai

pahle nicha tha to unche minaron par baiTha tha

māñgne se huā hai vo ḳhud-sar

kuchh dinoñ kuchh na maañg kar dekho

mangne se hua hai wo KHud-sar

kuchh dinon kuchh na mang kar dekho

use mālūm hai maiñ sar-phirā huuñ

magar ḳhush hai ki us ko chāhtā huuñ

TRANSLATION

She knows well that I am crazy,

But she is happy that I love thee.

Sagar Akbarabadi

use malum hai main sar-phira hun

magar KHush hai ki us ko chahta hun

TRANSLATION

She knows well that I am crazy,

But she is happy that I love thee.

Sagar Akbarabadi

har ik shai ḳhuun meñ Duubī huī hai

koī is tarah se paidā na hotā

har ek shai KHun mein Dubi hui hai

koi is tarah se paida na hota

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now