Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Gulzar Bukhari

1949 | Lahore, Pakistan

Sher of Gulzar Bukhari

jaane vāloñ kamī puurī kabhī hotī nahīñ

aane vaale ā.eñge phir bhī ḳhalā rah jā.egā

jaane walon ki kami puri kabhi hoti nahin

aane wale aaenge phir bhi KHala rah jaega

chalūñ to maslahat ye kah ke paañv thaam letī hai

vahāñ jaanā bhī kyā hāsil jahāñ se kuchh nahīñ hotā

chalun to maslahat ye kah ke panw tham leti hai

wahan jaana bhi kya hasil jahan se kuchh nahin hota

zābte aur misdāq pe rakkhe hue haiñ

āj-kal sidq-o-safā taaq pe rakkhe hue haiñ

zabte aur hi misdaq pe rakkhe hue hain

aaj-kal sidq-o-safa taq pe rakkhe hue hain

kaun pas-e-manzar meñ ujḌe paikaroñ ko dekhtā

shahar nazreñ libās-e-ḳhushnumā meñ kho ga.iiñ

kaun pas-e-manzar mein ujDe paikaron ko dekhta

shahar ki nazren libas-e-KHushnuma mein kho gain

rañg-o-bū shauq āshob-e-havā meñ le gayā

titliyāñ ghar se nikal kar ibtilā meñ kho ga.iiñ

rang-o-bu ka shauq aashob-e-hawa mein le gaya

titliyan ghar se nikal kar ibtila mein kho gain

Recitation

Speak Now