Sher of Idris Azad
eid kā chāñd tum ne dekh liyā
chāñd kī eid ho ga.ī hogī
eid ka chand tum ne dekh liya
chand ki eid ho gai hogi
maiñ to itnā bhī samajhne se rahā hoñ qāsir
raah takne ke sivā aañkh kā maqsad kyā hai
main to itna bhi samajhne se raha hon qasir
rah takne ke siwa aankh ka maqsad kya hai
itne zālim na bano kuchh to muravvat sīkho
tum pe marte haiñ to kyā maar hī Dāloge hameñ
itne zalim na bano kuchh to murawwat sikho
tum pe marte hain to kya mar hi Daloge hamein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ apne aap se rahtā huuñ duur eid ke din
ik ajnabī sā takalluf na.e libās meñ hai
main apne aap se rahta hun dur eid ke din
ek ajnabi sa takalluf nae libas mein hai
dil kā darvāza khulā thā koī Tiktā kaise
jo bhī aatā thā vo jaane ke liye aatā thā
dil ka darwaza khula tha koi Tikta kaise
jo bhi aata tha wo jaane ke liye aata tha
tirī tārīf karne lag gayā huuñ
mohabbat ne diyānat chhīn lī hai
teri tarif karne lag gaya hun
mohabbat ne diyanat chhin li hai
maiñ ne jitne bhī log dekhe haiñ
sab ke sīnoñ meñ rog dekhe haiñ
main ne jitne bhi log dekhe hain
sab ke sinon mein rog dekhe hain
jab chhoḌ gayā thā to kahāñ chhoḌ gayā thā
lauTā hai to lagtā hai ki ab chhoḌ gayā hai
jab chhoD gaya tha to kahan chhoD gaya tha
lauTa hai to lagta hai ki ab chhoD gaya hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
nahīñ nahīñ maiñ akelā to dil-girafta na thā
shajar bhī baiThā thā mujh se kamar lagā.e hue
nahin nahin main akela to dil-girafta na tha
shajar bhi baiTha tha mujh se kamar lagae hue
vo shahr bhar ko fasāne sunātā phirtā hai
hamāre sāmne sachchā bane to baat bane
wo shahr bhar ko fasane sunata phirta hai
hamare samne sachcha bane to baat bane
maiñ ḳhud udaas khaḌā thā kaTe daraḳht ke paas
parinda uḌ ke mire haath par utar aaya
main KHud udas khaDa tha kaTe daraKHt ke pas
parinda uD ke mere hath par utar aaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kaun kāfir hai jo khelegā diyānat se yahāñ
jab mirī jiit hai vābasta tirī haar ke saath
kaun kafir hai jo khelega diyanat se yahan
jab meri jit hai wabasta teri haar ke sath
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ jis meñ dafn huuñ ik chaltī phirtī qabr hai ye
janam nahīñ thā vo dar-asl mar gayā thā maiñ
main jis mein dafn hun ek chalti phirti qabr hai ye
janam nahin tha wo dar-asl mar gaya tha main
tum ne tāroñ ko rahnumā jaanā
ham ne tāroñ kī rahnumā.ī kī
tum ne taron ko rahnuma jaana
hum ne taron ki rahnumai ki
jahāñ tasvīr banvāne kī ḳhātir log aate the
vahāñ pas-manzar-e-tasvīr jo dīvār thī maiñ thā
jahan taswir banwane ki KHatir log aate the
wahan pas-manzar-e-taswir jo diwar thi main tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bajtā rahtā hai musalsal kisī barbat kī tarah
kis kī dastak pe lagā hai mirā darvāza-e-dil
bajta rahta hai musalsal kisi barbat ki tarah
kis ki dastak pe laga hai mera darwaza-e-dil
TuuTī nishast-e-dil to mohabbat kī aabrū
vāpas usī maqām pe laa.ī na jā sakī
TuTi nishast-e-dil to mohabbat ki aabru
wapas usi maqam pe lai na ja saki
khīñch laatī hai samundar se jazīre sar-e-āb
jab mirī aañkh ko manzar kī tamanna ho jaa.e
khinch lati hai samundar se jazire sar-e-ab
jab meri aankh ko manzar ki tamanna ho jae
use ehsās honā chāhiye thā
ki bachche ko khilaunā chāhiye thā
use ehsas hona chahiye tha
ki bachche ko khilauna chahiye tha
vo shauq-e-rabt-e-nau meñ khaḌī jhūltī rahī
maiñ shāḳh-e-e.atibār se phal kī tarah girā
wo shauq-e-rabt-e-nau mein khaDi jhulti rahi
main shaKH-e-eatibar se phal ki tarah gira
tirī rū-numā.ī kī raat bhī maiñ jahāñ khaḌā thā khaḌā rahā
ki hujūm-e-shahr ko chiir kar mujhe rāsta nahīñ chāhiye
teri ru-numai ki raat bhi main jahan khaDa tha khaDa raha
ki hujum-e-shahr ko chir kar mujhe rasta nahin chahiye