Irfan Sattar
Ghazal 59
Sher-o-Shayari 37
ik chubhan hai ki jo bechain kiye rahtī hai
aisā lagtā hai ki kuchh TuuT gayā hai mujh meñ
ek chubhan hai ki jo bechain kiye rahti hai
aisa lagta hai ki kuchh TuT gaya hai mujh mein
-
Share this
- See Ghazal
ābād mujh meñ tere sivā aur kaun hai?
tujh se bichhaḌ rahā huuñ tujhe kho nahīñ rahā
aabaad mujh mein tere siwa aur kaun hai?
tujh se bichhaD raha hun tujhe kho nahin raha
-
Share this
- See Ghazal
nahīñ nahīñ maiñ bahut ḳhush rahā huuñ tere baġhair
yaqīn kar ki ye hālat abhī abhī huī hai
nahin nahin main bahut KHush raha hun tere baghair
yaqin kar ki ye haalat abhi abhi hui hai
-
Share this
- See Ghazal
tum aa ga.e ho to ab ā.īna bhī dekheñge
abhī abhī to nigāhoñ meñ raushnī huī hai
tum aa gae ho to ab aaina bhi dekhenge
abhi abhi to nigahon mein raushni hui hai
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 5
ko.ii milaa to kisii aur kii kamii hu.ii hai so dil ne be-talabii iKHtiyaar kii hu.ii hai jahaa.n se dil kii taraf zindagii utartii thii nigaah ab bhii usii baam par jamii hu.ii hai hai intizaar use bhii tumhaarii KHush-buu kaa havaa galii me.n bahut der se rukii hu.ii hai tum aa ga.e ho to ab aa.iina bhii dekhe.nge abhii abhii to nigaaho.n me.n raushnii hu.ii hai hamaaraa ilm to marhuun-e-lauh-e-dil hai miyaa.n kitaab-e-aql to bas taaq par dharii hu.ii hai banaa.o saa.e haraarat badan me.n jazb karo ki dhuup sahn me.n kab se yuu.nhii pa.Dii hu.ii hai nahii.n nahii.n mai.n bahut KHush rahaa huu.n tere baGair yaqiin kar ki ye haalat abhii abhii hu.ii hai vo guftuguu jo mirii sirf apne-aap se thii tirii nigaah ko pahu.nchii to shaa.irii hu.ii hai