Sher of Jigar Barelvi
qadam milā ke zamāne ke saath chal na sake
bahut sambhal ke chale ham magar sambhal na sake
qadam mila ke zamane ke sath chal na sake
bahut sambhal ke chale hum magar sambhal na sake
ishq ko ek umr chāhiye aur
umr kā koī e'tibār nahīñ
ishq ko ek umr chahiye aur
umr ka koi e'tibar nahin
tum nahīñ paas koī paas nahīñ
ab mujhe zindagī kī aas nahīñ
tum nahin pas koi pas nahin
ab mujhe zindagi ki aas nahin
nahīñ ilāj-e-ġham-e-hijr-e-yār kyā kiije
taḌap rahā hai dil-e-be-qarār kiyā kiije
nahin ilaj-e-gham-e-hijr-e-yar kya kije
taDap raha hai dil-e-be-qarar kiya kije
dard ho dukh ho to davā kiije
phaT paḌe āsmāñ to kyā kiije
dard ho dukh ho to dawa kije
phaT paDe aasman to kya kije
maraz-e-ishq ko shifā samjhe
dard ko dard kī davā samjhe
maraz-e-ishq ko shifa samjhe
dard ko dard ki dawa samjhe
āstāñ bhī koī mil jā.egā ai zauq-e-niyāz
sar salāmat hai to sajda bhī adā ho jā.egā
aastan bhi koi mil jaega ai zauq-e-niyaz
sar salamat hai to sajda bhi ada ho jaega
-
Tag : Motivational
saañs lene meñ dard hotā hai
ab havā zindagī kī raas nahīñ
sans lene mein dard hota hai
ab hawa zindagi ki ras nahin
aaj kyā jaane kyā hai hone ko
jī bahut chāhtā hai rone ko
aaj kya jaane kya hai hone ko
ji bahut chahta hai rone ko
ishq ko dījiye junūñ meñ faroġh
dard se dard kī davā kījiye
ishq ko dijiye junun mein farogh
dard se dard ki dawa kijiye
na miT sakā na miTegā kabhī nishāñ merā
liyā ajal ne ka.ī baar imtihāñ merā
na miT saka na miTega kabhi nishan mera
liya ajal ne kai bar imtihan mera
nahīñ ki jurm-e-mohabbat kā e'tirāf nahīñ
magar huuñ ḳhush ki mirī ye ḳhatā muaaf nahīñ
nahin ki jurm-e-mohabbat ka e'tiraf nahin
magar hun KHush ki meri ye KHata muaf nahin
ishq meñ qadr-e-ḳhastagī kī ummīd
ai 'jigar' hosh kī davā kījiye
ishq mein qadr-e-KHastagi ki ummid
ai 'jigar' hosh ki dawa kijiye
ye sher mere use sunā do
pūchhe jo koī 'jigar' maiñ kyā huuñ
ye sher mere use suna do
puchhe jo koi 'jigar' main kya hun
ham aur uThā.eñge ehsān jāñ-navāzī ke
hameñ to saañs bhī lenā girāñ guzartā hai
hum aur uThaenge ehsan jaan-nawazi ke
hamein to sans bhi lena giran guzarta hai
tasallī aap ne dī farq hai haañ dil kī hālat meñ
jo tham tham kar ḳhalish hotī thī paiham hotī jaatī hai
tasalli aap ne di farq hai han dil ki haalat mein
jo tham tham kar KHalish hoti thi paiham hoti jati hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download