Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Junaid Hazin Lari

1933 | Banaras, India

Sher of Junaid Hazin Lari

2.9K
Favorite

SORT BY

dekhā nahīñ vo chāñd chehrā ka.ī din se

tārīk nazar aatī hai duniyā ka.ī din se

dekha nahin wo chand sa chehra kai din se

tarik nazar aati hai duniya kai din se

vo sādgī meñ bhī hai ajab dilkashī liye

is vāste ham us tamannā meñ liye

wo sadgi mein bhi hai ajab dilkashi liye

is waste hum us ki tamanna mein ji liye

qatra na ho to bahr na aa.e vajūd meñ

paanī ek buuñd samundar se kam nahīñ

qatra na ho to bahr na aae wajud mein

pani ki ek bund samundar se kam nahin

ajab bahār dikhā.ī lahū ke chhīñToñ ne

ḳhizāñ rañg bhī rañg-e-bahār jaisā thā

ajab bahaar dikhai lahu ke chhinTon ne

KHizan ka rang bhi rang-e-bahaar jaisa tha

tirī talāsh meñ nikle to itnī duur ga.e

ki ham se tai na hue fāsle judā.ī ke

teri talash mein nikle to itni dur gae

ki hum se tai na hue fasle judai ke

ishq hai ziyāñ ishq meñ rakkhā kyā hai

dil-e-barbād batā terī tamannā kyā hai

ishq hai ji ka ziyan ishq mein rakkha kya hai

dil-e-barbaad bata teri tamanna kya hai

kabhī is raah se guzre vo shāyad

galī ke moḌ par tanhā khaḌā huuñ

kabhi is rah se guzre wo shayad

gali ke moD par tanha khaDa hun

udāsiyāñ haiñ jo din meñ to shab meñ tanhā.ī

basā ke dekh liyā shahr-e-ārzū maiñ ne

udasiyan hain jo din mein to shab mein tanhai

basa ke dekh liya shahr-e-arzu main ne

usī ko dasht-e-ḳhizāñ ne kiyā bahut pāmāl

jo phuul sab se hasīñ mausam-e-bahār meñ thā

usi ko dasht-e-KHizan ne kiya bahut pamal

jo phul sab se hasin mausam-e-bahaar mein tha

ġham de gayā nashāt-e-shanāsā.ī le gayā

vo apne saath apnī masīhā.ī le gayā

gham de gaya nashat-e-shanasai le gaya

wo apne sath apni masihai le gaya

duur sāhil se koī shoḳh ishārā bhī nahīñ

Dūbne vaale ko tinke sahārā bhī nahīñ

dur sahil se koi shoKH ishaara bhi nahin

Dubne wale ko tinke ka sahaara bhi nahin

ġhairoñ shikasta hālat par hañsnā to hamārā sheva thā

lekin hue ham āzurda bahut jab apne ghar baat chalī

ghairon ki shikasta haalat par hansna to hamara shewa tha

lekin hue hum aazurda bahut jab apne ghar ki baat chali

kaliyoñ meñ tāzgī hai na phūloñ meñ baas hai

tere baġhair saarā gulistāñ udaas hai

kaliyon mein tazgi hai na phulon mein bas hai

tere baghair sara gulistan udas hai

rukī rukī hai barsāt ḳhushk hai sāvan

ye aur baat ki mausam yahī numū hai

ruki ruki si hai barsat KHushk hai sawan

ye aur baat ki mausam yahi numu ka hai

ik sham-e-ārzū haqīqat kyā magar

tūfāñ meñ ham charāġh jalā.e hue to haiñ

ek sham-e-arzu ki haqiqat hi kya magar

tufan mein hum charagh jalae hue to hain

Recitation

Speak Now