Sher of Kaifi Hyderabadi
sub.h ko khul jā.egā donoñ meñ kyā yārāna hai
sham.a parvāna kī hai yā sham.a kā parvāna hai
subh ko khul jaega donon mein kya yarana hai
shama parwana ki hai ya shama ka parwana hai
mohabbat meñ kyā kyā na kuchh jaur hogā
abhī kyā huā hai abhī aur hogā
mohabbat mein kya kya na kuchh jaur hoga
abhi kya hua hai abhi aur hoga
ham aap ko dekhte the pahle
ab aap kī raah dekhte haiñ
hum aap ko dekhte the pahle
ab aap ki rah dekhte hain
vo ab kyā ḳhaak aa.e haa.e qismat meñ tarasnā thā
tujhe ai abr-e-rahmat aaj hī itnā barasnā thā
wo ab kya KHak aae hae qismat mein tarasna tha
tujhe ai abr-e-rahmat aaj hi itna barasna tha
vahī nazar meñ hai lekin nazar nahīñ aatā
samajh rahā huuñ samajh meñ magar nahīñ aatā
wahi nazar mein hai lekin nazar nahin aata
samajh raha hun samajh mein magar nahin aata
apnā ḳhat aap diyā un ko magar ye kah kar
ḳhat to pahchāniye ye ḳhat mujhe gumnām milā
apna KHat aap diya un ko magar ye kah kar
KHat to pahchaniye ye KHat mujhe gumnam mila
raqīb donoñ jahāñ meñ zalīl kyuuñ hotā
kisī ke biich meñ kam-baḳht agar nahīñ aatā
raqib donon jahan mein zalil kyun hota
kisi ke bich mein kam-baKHt agar nahin aata
dil lene ke andāz bhī kuchh siikh gayā huuñ
sohbat meñ hasīnoñ kī bahut roz rahā huuñ
dil lene ke andaz bhi kuchh sikh gaya hun
sohbat mein hasinon ki bahut roz raha hun
aur bhī to haiñ zamāne meñ tumhāre āshiq
ek maiñ hī tumheñ kyā qābil-e-ilzām milā
aur bhi to hain zamane mein tumhaare aashiq
ek main hi tumhein kya qabil-e-ilzam mila
ḳham subū sāġhar surāhī jaam paimāna mirā
mere saaqī jab mirā tū hai to mai-ḳhāna mirā
KHam subu saghar surahi jam paimana mera
mere saqi jab mera tu hai to mai-KHana mera
har taur har tarah kī jo zillat mujhī ko hai
duniyā meñ kyā kisī se mohabbat mujhī ko hai
har taur har tarah ki jo zillat mujhi ko hai
duniya mein kya kisi se mohabbat mujhi ko hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mazā hai tire bismiloñ ko taḌap meñ
taḌap meñ nahīñ bismiloñ meñ mazā hai
maza hai tere bismilon ko taDap mein
taDap mein nahin bismilon mein maza hai