Sher of Kalb-e-husain Nadir
log kahte haiñ ki fann-e-shā.irī manhūs hai
sher kahte kahte maiñ deputy collector ho gayā
log kahte hain ki fann-e-shairi manhus hai
sher kahte kahte main deputy collector ho gaya
puurā kareñge holī meñ kyā vāda-e-visāl
jin ko abhī basant kī ai dil ḳhabar nahīñ
pura karenge holi mein kya wada-e-visal
jin ko abhi basant ki ai dil KHabar nahin
na ḳhanjar uThegā na talvār in se
ye baazū mire āzmā.e hue haiñ
na KHanjar uThega na talwar in se
ye bazu mere aazmae hue hain
tirī tārīf ho ai sahib-e-ausāf kyā mumkin
zabānoñ se dahānoñ se takallum se bayānoñ se
teri tarif ho ai sahib-e-ausaf kya mumkin
zabanon se dahanon se takallum se bayanon se
chaltī to hai par shoḳhī-e-raftār kahāñ hai
talvār meñ pāzeb kī jhankār kahāñ hai
chalti to hai par shoKHi-e-raftar kahan hai
talwar mein pazeb ki jhankar kahan hai
ho ga.e raam jo tum ġhair se a jān-e-jahāñ
jal rahī hai dil-e-pur-nūr kī lanka dekho
ho gae ram jo tum ghair se a jaan-e-jahan
jal rahi hai dil-e-pur-nur ki lanka dekho
haiñ diin ke pāband na duniyā ke muqayyad
kyā ishq ne is bhūl-bhulayyāñ se nikālā
hain din ke paband na duniya ke muqayyad
kya ishq ne is bhul-bhulayyan se nikala
dariyā-e-sharāb us ne bahāyā hai hamesha
saaqī se jo kashtī ke talabgār hue haiñ
dariya-e-sharab us ne bahaya hai hamesha
saqi se jo kashti ke talabgar hue hain
phir na baaqī rahe ġhubār kabhī
holī khelo jo ḳhāksāroñ meñ
phir na baqi rahe ghubar kabhi
holi khelo jo KHaksaron mein
naav kāġhaz kī tan-e-ḳhākī-e-insāñ samjho
ġharq ho jā.eñgī chhīñTā jo paḌā paanī kā
naw kaghaz ki tan-e-KHaki-e-insan samjho
gharq ho jaengi chhinTa jo paDa pani ka
ik baat par qarār unheñ rāt-bhar nahīñ
do do pahar jo haañ hai to do do pahar nahīñ
ek baat par qarar unhen raat-bhar nahin
do do pahar jo han hai to do do pahar nahin
sabz kapḌoñ meñ siyah-zulf kī zebā.ī hai
dhaan ke khet meñ kyā kaalī ghaTā chhā.ī hai
sabz kapDon mein siyah-zulf ki zebai hai
dhan ke khet mein kya kali ghaTa chhai hai
vo aur maraz haiñ ki shifā hotī hai jin se
achchhe kahīñ un āñkhoñ ke bīmār hue haiñ
wo aur maraz hain ki shifa hoti hai jin se
achchhe kahin un aankhon ke bimar hue hain
agar un ko puujā to kyā kufr hogā
ki but bhī ḳhudā ke banā.e hue haiñ
agar un ko puja to kya kufr hoga
ki but bhi KHuda ke banae hue hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
un ko ushshāq hī ke dil kī nahīñ hai taḳhsīs
koī shīsha ho parī ban ke utar jaate haiñ
un ko ushshaq hi ke dil ki nahin hai taKHsis
koi shisha ho pari ban ke utar jate hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
is qadar mahv na hoñ aap ḳhud-ārā.ī meñ
daaġh lag jaa.e na ā.īna-e-yaktā.ī meñ
is qadar mahw na hon aap KHud-arai mein
dagh lag jae na aaina-e-yaktai mein
tū jo talvār se nahlā.e lahū meñ mujh ko
ġhusl-e-sehhat huā bhī ishq kī bīmārī se
tu jo talwar se nahlae lahu mein mujh ko
ghusl-e-sehhat hua bhi ishq ki bimari se
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
chālīs jaam pī ke diyā ek jām-e-mai
saaqī ne ḳhuub raah nikālī zakāt kī
chaalis jam pi ke diya ek jam-e-mai
saqi ne KHub rah nikali zakat ki