Sher of Kamran Nafees
muntazir huuñ tirī āvāz se tasvīr talak
ek vaqfa hī to darkār thā milne ke liye
muntazir hun teri aawaz se taswir talak
ek waqfa hi to darkar tha milne ke liye
saf-ba-saf terī mohabbat ne sañbhālā ham ko
aur ham TuuT ke bikhre bhī to yakjā.ī rahī
saf-ba-saf teri mohabbat ne sanbhaala hum ko
aur hum TuT ke bikhre bhi to yakjai rahi
aañkh ko nam kiye baġhair dil ko burā kiye baġhair
us kī galī se aa ga.e ham to sadā kiye baġhair
aankh ko nam kiye baghair dil ko bura kiye baghair
us ki gali se aa gae hum to sada kiye baghair
āḳhirī parinde kī Dūbtī huī āvāz
shaam hone vaalī hai ab hameñ ijāzat hai
aaKHiri parinde ki Dubti hui aawaz
sham hone wali hai ab hamein ijazat hai
ab haal ye hai ki raat hai aur
sunsān sī ek rahguzar hai
ab haal ye hai ki raat hai aur
sunsan si ek rahguzar hai
kal dopahar ko saath rahā thā vo der tak
phir us ke baa'd shaam rahī shaam hī rahī
kal dopahar ko sath raha tha wo der tak
phir us ke ba'd sham rahi sham hi rahi
aur khultī hī chalī jā.egī shab
ham tirī zulf agar kholte jaa.eñ
aur khulti hi chali jaegi shab
hum teri zulf agar kholte jaen
dil dhaḌakne kā sabab zindagī ho saktī hai
ye zarūrī to nahīñ hai ki tirī yaad hī ho
dil dhaDakne ka sabab zindagi ho sakti hai
ye zaruri to nahin hai ki teri yaad hi ho
ye to ham shahr meñ kuchh din se nahīñ haiñ varna
kyā tumhārī vo chalegī jo hamārī chalī hai
ye to hum shahr mein kuchh din se nahin hain warna
kya tumhaari wo chalegi jo hamari chali hai
ġham kahāñ dekhne kī shai hai magar
dīdanī hai vo sogvār nikhār
gham kahan dekhne ki shai hai magar
didani hai wo sogwar nikhaar
āvāz pe kaun Thertā hai
ruk jāoge ham jahāñ kaheñge
aawaz pe kaun Therta hai
ruk jaoge hum jahan kahenge
us ek lamhe kī rā.egānī kā dukh hai saarā
vo terī qurbat meñ jo guzarne se rah gayā thā
us ek lamhe ki raegani ka dukh hai sara
wo teri qurbat mein jo guzarne se rah gaya tha
shajar par jab se harjāne lage haiñ
parinde chhoḌ kar jaane lage haiñ
shajar par jab se harjaane lage hain
parinde chhoD kar jaane lage hain
ḳhat-e-shikasta meñ kyā jaane kab kashīd aa jaa.e
ki saañs rok ke kariyo miyāñ kitābat-e-‘ishq
KHat-e-shikasta mein kya jaane kab kashid aa jae
ki sans rok ke kariyo miyan kitabat-e-‘ishq
aa jaatī haiñ kuchh ḳhushiyāñ andeshoñ meñ
kuchh andeshe ḳhushiyoñ meñ aa jaate haiñ
aa jati hain kuchh KHushiyan andeshon mein
kuchh andeshe KHushiyon mein aa jate hain
maan lenā hai zarūrī jānñe se
tīrgī meñ aa.ine ko dekhnā kyā
man lena hai zaruri jaanne se
tirgi mein aaine ko dekhna kya
havā Takrā rahī hai canvas se
bikharte jā rahe haiñ rang saare
hawa Takra rahi hai canwas se
bikharte ja rahe hain rang sare
pareshāñ hai bahut is dard se dil
havā Thahre to kuchh tadbīr Thahre
pareshan hai bahut is dard se dil
hawa Thahre to kuchh tadbir Thahre
ek hī dar thā galī meñ vo bhī darvāza huā
jab se har āvāz par be-kār meñ khulne lagā
ek hi dar tha gali mein wo bhi darwaza hua
jab se har aawaz par be-kar mein khulne laga
vo ik āvāz thī manzil nahīñ thī
magar maiñ us kī jānib chal paḌā thā
wo ek aawaz thi manzil nahin thi
magar main us ki jaanib chal paDa tha
habs baḌhtā hai aah bharne se
mere hisse kī saañs mat khīñcho
habs baDhta hai aah bharne se
mere hisse ki sans mat khincho
ye suur hai dūsrī dafa kā
aur log tamām so rahe haiñ
ye sur hai dusri dafa ka
aur log tamam so rahe hain
khel rachā kar shahr ujāḌeñ kaTh-putlī ke saath
lashkar ke sālār tamāshā-gar bhī hote haiñ
khel racha kar shahr ujaDen kaTh-putli ke sath
lashkar ke salar tamasha-gar bhi hote hain
hamāre chāk-e-garebāñ kā taar thā ye kabhī
ye jis pharere ko nikle haiñ aap lahrāne
hamare chaak-e-gareban ka tar tha ye kabhi
ye jis pharere ko nikle hain aap lahrane
khiḌkī kā ye bhārī parda
hijr meñ malmal ho jaatā hai
khiDki ka ye bhaari parda
hijr mein malmal ho jata hai
aur aatā agar ḳhayāl un kā
aur sarshār ho ga.e hote
aur aata agar KHayal un ka
aur sarshaar ho gae hote
nazroñ kā bechain bagūla gard uḌātā phirtā hai
jis mahfil meñ tum nahīñ hote us mahfil ke sahrā meñ
nazron ka bechain bagula gard uData phirta hai
jis mahfil mein tum nahin hote us mahfil ke sahra mein
na ban paḌī koī sūrat to ek din ghar se
maiñ chal diyā kisī nuqsān kī talāfī meñ
na ban paDi koi surat to ek din ghar se
main chal diya kisi nuqsan ki talafi mein
maiñ ne hijrat ko likhā vāqi’a-e-gumshudagī
aur paḌāo meñ huī maut ko manzil likkhā
main ne hijrat ko likha waqi’a-e-gumshudagi
aur paDao mein hui maut ko manzil likkha
dikhā.ī bhī nahīñ degī badan ġharqāb kar ke
miyān-e-vasl ik chālāk ḳhaak uḌtī rahegī
dikhai bhi nahin degi badan gharqab kar ke
miyan-e-wasl ek chaalak KHak uDti rahegi
tez hotī hai sar-e-shām havā
aur ho jaatī hai saffāk alag
tez hoti hai sar-e-sham hawa
aur ho jati hai saffak alag