Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Khaleel Mamoon's Photo'

Khaleel Mamoon

1948 | Bangalore, India

Prominent poet, recipient of Sahitya Academy award.

Prominent poet, recipient of Sahitya Academy award.

Sher of Khaleel Mamoon

2.2K
Favorite

SORT BY

lafzoñ ḳhazāna bhī kabhī kaam na aa.e

baiThe raheñ likhne ko tirā naam na aa.e

lafzon ka KHazana bhi kabhi kaam na aae

baiThe rahen likhne ko tera nam na aae

aisā ho zindagī meñ koī ḳhvāb na ho

añdhiyārī raat meñ koī mahtāb na ho

aisa ho zindagi mein koi KHwab hi na ho

andhiyari raat mein koi mahtab hi na ho

dard ke sahāre kab talak chaleñge

saañs ruk rahī hai fāsla baḌā hai

dard ke sahaare kab talak chalenge

sans ruk rahi hai fasla baDa hai

aise mar jaa.eñ koī naqsh na chhoḌeñ apnā

yaad dil meñ na ho aḳhbār meñ tasvīr na ho

aise mar jaen koi naqsh na chhoDen apna

yaad dil mein na ho aKHbar mein taswir na ho

har ek kaam hai dhoka har ek kaam hai khel

ki zindagī meñ tamāshā bahut zarūrī hai

har ek kaam hai dhoka har ek kaam hai khel

ki zindagi mein tamasha bahut zaruri hai

hazāroñ chāñd sitāre chamak ga.e hote

kabhī nazar jo tirī mā.il-e-karam hotī

hazaron chand sitare chamak gae hote

kabhi nazar jo teri mail-e-karam hoti

merī tarah se ye bhī satāyā huā hai kyā

kyuuñ itne daaġh dikhte haiñ mahtāb meñ abhī

meri tarah se ye bhi sataya hua hai kya

kyun itne dagh dikhte hain mahtab mein abhi

tum nahīñ aaoge ḳhabar hai hameñ

phir bhī ham intizār kar leñge

tum nahin aaoge KHabar hai hamein

phir bhi hum intizar kar lenge

chalnā likhā hai apne muqaddar meñ umr bhar

manzil hamārī dard rāhoñ meñ gum huī

chalna likha hai apne muqaddar mein umr bhar

manzil hamari dard ki rahon mein gum hui

dil meñ umañg aur irāda koī to ho

be-kaif zindagī meñ tamāshā koī to ho

dil mein umang aur irada koi to ho

be-kaif zindagi mein tamasha koi to ho

mujhe pahuñchnā hai bas apne-āp had tak

maiñ apnī zaat ko manzil banā ke chaltā huuñ

mujhe pahunchna hai bas apne-ap ki had tak

main apni zat ko manzil bana ke chalta hun

shāyad apnā pata bhī mil jaa.e

jhāñktā huuñ tirī nigāhoñ meñ

shayad apna pata bhi mil jae

jhankta hun teri nigahon mein

sirf chehra nazar aatā hai ā.īne meñ

aks-e-ā.īna nahīñ dikhtā hai ā.īne meñ

sirf chehra hi nazar aata hai aaine mein

aks-e-aina nahin dikhta hai aaine mein

sab log hameñ ek nazar aate haiñ

andāza nahīñ hotā hai ab chehroñ

sab log hamein ek nazar aate hain

andaza nahin hota hai ab chehron ka

tum ho kho.e hue zamāne meñ

maiñ ḳhud apnī zaat meñ gum huuñ

tum ho khoe hue zamane mein

main KHud apni hi zat mein gum hun

jañgaloñ meñ kahīñ kho jaanā hai

jānvar phir mujhe ho jaanā hai

jangalon mein kahin kho jaana hai

jaanwar phir mujhe ho jaana hai

terī kyā ye hālat ho ga.ī hai 'māmūn'

ḳhud kah rahā hai ḳhud sun rahā hai

teri kya ye haalat ho gai hai 'mamun'

KHud hi kah raha hai KHud hi sun raha hai

fat.h ke jashn meñ haiñ sab sarshār

maiñ to apnī maat meñ gum huuñ

fath ke jashn mein hain sab sarshaar

main to apni hi mat mein gum hun

mujhe to ishq hai phūloñ meñ sirf ḳhushbū se

bulā rahī hai kisī laala mahak mujh ko

mujhe to ishq hai phulon mein sirf KHushbu se

bula rahi hai kisi lala ki mahak mujh ko

vo burā.ī sab se merī kar rahe haiñ

kyuuñ nahīñ karte bayāñ achchhā.iyoñ ko

wo burai sab se meri kar rahe hain

kyun nahin karte bayan achchhaiyon ko

maiñ manziloñ se bahut duur aa gayā 'māmūn'

safar ne kho diye saare nishāñ tumhārī taraf

main manzilon se bahut dur aa gaya 'mamun'

safar ne kho diye sare nishan tumhaari taraf

har ek jagah bhaTakte phireñge saarī umr

bil-āḳhir apne ghar jā.eñge kisī din ham

har ek jagah bhaTakte phirenge sari umr

bil-aKHir apne hi ghar jaenge kisi din hum

javāb DhūñD ke saare jahāñ se jab lauTe

hameñ to kar gayā yak-laḳht lā-javāb koī

jawab DhunD ke sare jahan se jab lauTe

hamein to kar gaya yak-laKHt la-jawab koi

jo nuur bharte the zulmāt-e-shab ke sahrā meñ

vo chāñd taare falak se utar ga.e shāyad

jo nur bharte the zulmat-e-shab ke sahra mein

wo chand tare falak se utar gae shayad

mirā vajūd o adam bhī ik hādsa nayā hai

maiñ dafn huuñ kahīñ kahīñ se nikal rahā huuñ

mera wajud o adam bhi ek hadsa naya hai

main dafn hun kahin kahin se nikal raha hun

masrūf-e-ġham haiñ kaun-o-makāñ jāgte raho

ḳhvāboñ se uTh rahā hai dhuāñ jāgte raho

masruf-e-gham hain kaun-o-makan jagte raho

KHwabon se uTh raha hai dhuan jagte raho

raftār-e-roz-o-shab se kahāñ tak nibhā.ūñgā

thak-hār kar maiñ ghar taraf lauT jā.ūñgā

raftar-e-roz-o-shab se kahan tak nibhaunga

thak-haar kar main ghar ki taraf lauT jaunga

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now