Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Khalida Uzma

Sher of Khalida Uzma

idhar udhar ke sunā.e hazār afsāne

diloñ baat sunāne hausla na huā

idhar udhar ke sunae hazar afsane

dilon ki baat sunane ka hausla na hua

chale aate haiñ be-mausam bārish tarah aañsū

basā-auqāt rone sabab kuchh bhī nahīñ hotā

chale aate hain be-mausam ki barish ki tarah aansu

basa-auqat rone ka sabab kuchh bhi nahin hota

ziist aur maut āḳhir ye fasāna kyā hai

umr kyuuñ hasb-e-zarūrat nahīñ saktī

zist aur maut ka aaKHir ye fasana kya hai

umr kyun hasb-e-zarurat nahin di ja sakti

basī hai sūkhe gulāboñ baat sāñsoñ meñ

koī ḳhayāl kisī yaad ke hisār meñ hai

basi hai sukhe gulabon ki baat sanson mein

koi KHayal kisi yaad ke hisar mein hai

mire ba.ad qatl se tauba

āḳhirī tiir thā kamān meñ kyā

ki mere baad qatl se tauba

aaKHiri tir tha kaman mein kya

haqīqateñ to aTal haiñ badal nahīñ saktīñ

magar kisī tasallī se hausla huā hai

haqiqaten to aTal hain badal nahin saktin

magar kisi ki tasalli se hausla hua hai

vo tapish hai ki jal uThe saa.e

dhuup rakkhī thī sā.ebān meñ kyā

wo tapish hai ki jal uThe sae

dhup rakkhi thi saeban mein kya

ye kyā ḳhalish hai ki lau de rahī hai jazboñ ko

na jaane kaun sho.ala mere sharār meñ hai

ye kya KHalish hai ki lau de rahi hai jazbon ko

na jaane kaun sa shoala mere sharar mein hai

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now