Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mah Laqa Chanda's Photo'

Mah Laqa Chanda

1768 - 1824 | Hyderabad, India

Sher of Mah Laqa Chanda

1.5K
Favorite

SORT BY

gul ke hone tavaqqo.a pe jiye baiThī hai

har kalī jaan ko muTThī meñ liye baiThī hai

gul ke hone ki tawaqqoa pe jiye baiThi hai

har kali jaan ko muTThi mein liye baiThi hai

kabhī sayyād khaTkā hai kabhī ḳhauf-e-ḳhizāñ

bulbul ab jaan hathelī pe liye baiThī hai

kabhi sayyaad ka khaTka hai kabhi KHauf-e-KHizan

bulbul ab jaan hatheli pe liye baiThi hai

gar mire dil ko churāyā nahīñ ne zālim

khol de band hathelī ko dikhā hāthoñ ko

gar mere dil ko churaya nahin tu ne zalim

khol de band hatheli ko dikha hathon ko

tiir o talvār se baḌh kar hai tirī tirchhī nigah

saikḌoñ āshiqoñ ḳhuun kiye baiThī hai

tir o talwar se baDh kar hai teri tirchhi nigah

saikDon aashiqon ka KHun kiye baiThi hai

ba-juz haq ke nahīñ hai ġhair se hargiz tavaqqo kuchh

magar duniyā ke logoñ meñ mujhe hai pyaar se matlab

ba-juz haq ke nahin hai ghair se hargiz tawaqqo kuchh

magar duniya ke logon mein mujhe hai pyar se matlab

ham jo shab ko nā-gahāñ us shoḳh ke paale paḌe

dil to jaatā rahā ab jaan ke laale paḌe

hum jo shab ko na-gahan us shoKH ke pale paDe

dil to jata hi raha ab jaan ke lale paDe

un ko āñkheñ dikhā de Tuk saaqī

chāhte haiñ jo baar baar sharāb

un ko aankhen dikha de Tuk saqi

chahte hain jo bar bar sharab

'chandā' rahe partav se tire alī raushan

ḳhurshīd ko hai dar se tire shām-o-sahar faiz

'chanda' rahe partaw se tere ya ali raushan

KHurshid ko hai dar se tere sham-o-sahar faiz

garche gul sej ho tis par bhī uḌ jaatī hai niind

sar rakhūñ qadmoñ pe jab tere mujhe aatī hai niind

garche gul ki sej ho tis par bhi uD jati hai nind

sar rakhun qadmon pe jab tere mujhe aati hai nind

nādāñ se ek umr rahā mujh ko rabt-e-ishq

daanā se ab paḌā hai sarokār dekhnā

nadan se ek umr raha mujh ko rabt-e-ishq

dana se ab paDa hai sarokar dekhna

dil ho gayā hai ġham se tire dāġhdār ḳhuub

phūlā hai kyā josh se ye lāla-zār ḳhuub

dil ho gaya hai gham se tere daghdar KHub

phula hai kya hi josh se ye lala-zar KHub

sañg-e-rah huuñ ek Thokar ke liye

tis pe vo dāman sambhāl aatā hai aaj

sang-e-rah hun ek Thokar ke liye

tis pe wo daman sambhaal aata hai aaj

basant aa.ī hai mauj-e-rañg-e-gul hai josh-e-sahbā hai

ḳhudā ke fazl se aish-o-tarab ab kamī kyā hai

basant aai hai mauj-e-rang-e-gul hai josh-e-sahba hai

KHuda ke fazl se aish-o-tarab ki ab kami kya hai

dareġh chashm-e-karam se na rakh ki ai zālim

kare hai dil ko mire terī yak nazar mahzūz

daregh chashm-e-karam se na rakh ki ai zalim

kare hai dil ko mere teri yak nazar mahzuz

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now