Sher of Mahfuzur Rahman Adil
vaqt kī gardishoñ kā ġham na karo
hausle mushkiloñ meñ palte haiñ
waqt ki gardishon ka gham na karo
hausle mushkilon mein palte hain
sāmne maañ ke jo hotā huuñ to allāh allāh
mujh ko mahsūs ye hotā hai ki bachcha huuñ abhī
samne man ke jo hota hun to allah allah
mujh ko mahsus ye hota hai ki bachcha hun abhi
mat baiTh āshiyāñ meñ paroñ ko sameT kar
kar hausla kushāda fazā meñ uḌaan kā
mat baiTh aashiyan mein paron ko sameT kar
kar hausla kushada faza mein uDan ka
-
Tag : Motivational
merā zāhir dekhne vaale mirā bātin bhī dekh
ghar ke bāhar hai ujālā ghar ke andar kuchh nahīñ
mera zahir dekhne wale mera baatin bhi dekh
ghar ke bahar hai ujala ghar ke andar kuchh nahin
aap nūr-afshāñ haiñ raat ke añdhere meñ
yā sitāre raqsāñ haiñ raat ke añdhere meñ
aap nur-afshan hain raat ke andhere mein
ya sitare raqsan hain raat ke andhere mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tumhārī mast āñkhoñ kā tasavvur
mirī tauba se Takrāne lagā hai
tumhaari mast aankhon ka tasawwur
meri tauba se Takrane laga hai
zindagī ko hausla dene ke ḳhātir
ḳhvāhishoñ ko reza reza chun rahā huuñ
zindagi ko hausla dene ke KHatir
KHwahishon ko reza reza chun raha hun
dekh lenā ek din be-roz-gārī kā azaab
chhīn kar chehroñ kī saarī dilkashī le jā.egā
dekh lena ek din be-roz-gari ka azab
chhin kar chehron ki sari dilkashi le jaega
vo lāla-badan jhiil meñ utrā nahīñ varna
sho.ale mutavātir isī paanī se nikalte
wo lala-badan jhil mein utra nahin warna
shoale mutawatir isi pani se nikalte
kyuuñ zamāna hī badaltā hai tujhe
tū zamāne ko badaltā kyuuñ nahīñ
kyun zamana hi badalta hai tujhe
tu zamane ko badalta kyun nahin
jo terī zulf ke saa.e meñ chand din guzre
vo ġham kī dhuup meñ yaad aa.e sā.ebāñ kī tarah
jo teri zulf ke sae mein chand din guzre
wo gham ki dhup mein yaad aae saeban ki tarah
hamesha dhuup kī chādar pe takiya kaun kartā hai
khulī chhat hai to phir barsāt kā bhī sāmnā hogā
hamesha dhup ki chadar pe takiya kaun karta hai
khuli chhat hai to phir barsat ka bhi samna hoga
ab sar-e-ām judā hote haiñ sar shānoñ se
ab ye manzar hai ta.ajjub kā na hairānī kā
ab sar-e-am juda hote hain sar shanon se
ab ye manzar hai tajjub ka na hairani ka
tirī aql gum tujhe kar na de rah-e-zindagī meñ sambhal ke chal
tū gumāñ kī had na talāsh kar ki kahīñ bhī hadd-e-gumāñ nahīñ
teri aql gum tujhe kar na de rah-e-zindagi mein sambhal ke chal
tu guman ki had na talash kar ki kahin bhi hadd-e-guman nahin
mujh ko shauq-e-justujū-e-kā.enāt
ḳhaak se 'ādil' ḳhalā tak le gayā
mujh ko shauq-e-justuju-e-kaenat
KHak se 'adil' KHala tak le gaya
un safīnoñ kī tabāhī meñ hai ibrat kā sabaq
jo kināre tak pahuñch kar nazr-e-tūfāñ ho ga.e
un safinon ki tabahi mein hai ibrat ka sabaq
jo kinare tak pahunch kar nazr-e-tufan ho gae
ek din vo zarroñ ko āftāb kar leñge
dhuup ke jo ḳhvāhāñ haiñ raat ke añdhere meñ
ek din wo zarron ko aaftab kar lenge
dhup ke jo KHwahan hain raat ke andhere mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jannateñ to peshvāoñ ne hī mil kar baañT liiñ
ham ko uljhāyā gayā hai dozaḳhoñ ke darmiyāñ
jannaten to peshwaon ne hi mil kar banT lin
hum ko uljhaya gaya hai dozaKHon ke darmiyan
ab tak isī muamme meñ uljhā huā huuñ maiñ
laa.ī hai zindagī mujhe kyuuñ is jahān tak
ab tak isi muamme mein uljha hua hun main
lai hai zindagi mujhe kyun is jahan tak
usī ne baḳhshā hai mujh ko shu.ūr jiine kā
jo mushkiloñ kī ghaḌī baar baar aa.ī hai
usi ne baKHsha hai mujh ko shuur jine ka
jo mushkilon ki ghaDi bar bar aai hai
shāḳh se gir kar havā ke saath saath
kis taraf ye zard pattā jā.egā
shaKH se gir kar hawa ke sath sath
kis taraf ye zard patta jaega
ḳhud mire aañsū chamak rakhte haiñ gauhar kī tarah
merī chashm-e-ārzū meñ māh-o-aḳhtar kuchh nahīñ
KHud mere aansu chamak rakhte hain gauhar ki tarah
meri chashm-e-arzu mein mah-o-aKHtar kuchh nahin
āftāb-e-garm se dast-o-garebāñ ho ga.e
dhuup kī shiddat se saa.e jab pareshāñ ho ga.e
aaftab-e-garm se dast-o-gareban ho gae
dhup ki shiddat se sae jab pareshan ho gae
be-libāsī mirī tauqīr kā baa.is Thahrī
bol-bālā hai bahut shahar meñ uryānī kā
be-libasi meri tauqir ka bais Thahri
bol-baala hai bahut shahar mein uryani ka
shabnamī qatre gul-e-lāla pe the raqs-kunāñ
barf ke TukḌe bhī dekhe ga.e añgāroñ meñ
shabnami qatre gul-e-lala pe the raqs-kunan
barf ke TukDe bhi dekhe gae angaron mein
vo mirī āvāragardī vo mirā dīvāna-pan
vo mirī ta.azīm meñ dīvār-o-dar kā jāgnā
wo meri aawaragardi wo mera diwana-pan
wo meri tazim mein diwar-o-dar ka jagna
havā ke rahm-o-karam par huuñ be-Thikāna huuñ
shajar se TuuTā huā ek zard pattā huuñ
hawa ke rahm-o-karam par hun be-Thikana hun
shajar se TuTa hua ek zard patta hun
ab use apnī shabāhat bhī guzartī hai girāñ
ghar ke andar koī shīsha nahīñ rahne detā
ab use apni shabahat bhi guzarti hai giran
ghar ke andar koi shisha nahin rahne deta
bhūlī-bisrī dāstāñ mujh ko na samjho
maiñ na.ī pahchān kā ik vāsta huuñ
bhuli-bisri dastan mujh ko na samjho
main nai pahchan ka ek wasta hun
baat to jab hai fasl-e-junūñ meñ dīvāne to dīvāne
ahl-e-ḳhirad bhī raqs kareñ zanjīroñ kī jhankāroñ par
baat to jab hai fasl-e-junun mein diwane to diwane
ahl-e-KHirad bhi raqs karen zanjiron ki jhankaron par
qaidī banā ke rakkhā hai us ne tamām umr
mujh ko hisār-e-jāñ se nikalne nahīñ diyā
qaidi bana ke rakkha hai us ne tamam umr
mujh ko hisar-e-jaan se nikalne nahin diya
ye bhī hai maarā huā saaqī kī chashm-e-nāz kā
is liye 'ādil' ko shīshe kī parī achchhī lagī
ye bhi hai mara hua saqi ki chashm-e-naz ka
is liye 'adil' ko shishe ki pari achchhi lagi
tumhāre baḳhshe hue āñsuoñ ke qatroñ se
shab-e-firāq meñ taare sajā rahā huuñ maiñ
tumhaare baKHshe hue aansuon ke qatron se
shab-e-firaq mein tare saja raha hun main
parat parat tirā chehra sajā rahā huuñ maiñ
ye ittifāq ki haiñ ghar meñ aa.ine TuuTe
parat parat tera chehra saja raha hun main
ye ittifaq ki hain ghar mein aaine TuTe
vo jagā kar ham ko sab ḳhush-manzarī le jā.egā
ḳhvāb kyā hai ḳhvāb kī tābīr bhī le jā.egā
wo jaga kar hum ko sab KHush-manzari le jaega
KHwab kya hai KHwab ki tabir bhi le jaega
mere talvoñ ke lahū se hogī raushan har jihat
rah-ravān-e-rāh-e-manzil hoñge shashdar dekhnā
mere talwon ke lahu se hogi raushan har jihat
rah-rawan-e-rah-e-manzil honge shashdar dekhna