Sher of Mohsin Bhopali
zindagī gul hai naġhma hai mahtāb hai
zindagī ko faqat imtihāñ mat samajh
zindagi gul hai naghma hai mahtab hai
zindagi ko faqat imtihan mat samajh
jo mile the hameñ kitāboñ meñ
jaane vo kis nagar meñ rahte haiñ
jo mile the hamein kitabon mein
jaane wo kis nagar mein rahte hain
jaane vaale sab aa chuke 'mohsin'
aane vaalā abhī nahīñ aayā
jaane wale sab aa chuke 'mohsin'
aane wala abhi nahin aaya
nairañgī-e-siyāsat-e-daurāñ to dekhiye
manzil unheñ milī jo sharīk-e-safar na the
nairangi-e-siyasat-e-dauran to dekhiye
manzil unhen mili jo sharik-e-safar na the
ġhalat the vaade magar maiñ yaqīn rakhtā thā
vo shaḳhs lahja bahut dil-nashīn rakhtā thā
ghalat the wade magar main yaqin rakhta tha
wo shaKHs lahja bahut dil-nashin rakhta tha
kis qadar nādim huā huuñ maiñ burā kah kar use
kyā ḳhabar thī jaate jaate vo duā de jā.egā
kis qadar nadim hua hun main bura kah kar use
kya KHabar thi jate jate wo dua de jaega
sadā-e-vaqt kī gar bāz-gasht san paao
mire ḳhayāl ko tum shā.irāna kah denā
sada-e-waqt ki gar baz-gasht san pao
mere KHayal ko tum shairana kah dena
ek muddat kī rifāqat kā ho kuchh to in.aam
jaate jaate koī ilzām lagāte jaao
ek muddat ki rifaqat ka ho kuchh to inam
jate jate koi ilzam lagate jao
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
us ko chāhā thā kabhī ḳhud kī tarah
aaj ḳhud apne talabgār haiñ ham
us ko chaha tha kabhi KHud ki tarah
aaj KHud apne talabgar hain hum
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kyā ḳhabar thī hameñ ye zaḳhm bhī khānā hogā
tū nahīñ hogā tirī bazm meñ aanā hogā
kya KHabar thi hamein ye zaKHm bhi khana hoga
tu nahin hoga teri bazm mein aana hoga
hamārī jaan pe dohrā azaab hai 'mohsin'
ki dekhnā hī nahīñ ham ko sochnā bhī hai
hamari jaan pe dohra azab hai 'mohsin'
ki dekhna hi nahin hum ko sochna bhi hai
sūraj chaḌhā to phir bhī vahī log zad meñ the
shab bhar jo intizār-e-sahar dekhte rahe
suraj chaDha to phir bhi wahi log zad mein the
shab bhar jo intizar-e-sahar dekhte rahe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
raushnī haiñ safar meñ rahte haiñ
vaqt kī rahguzar meñ rahte haiñ
raushni hain safar mein rahte hain
waqt ki rahguzar mein rahte hain
is liye suntā huuñ 'mohsin' har fasāna ġhaur se
ik haqīqat ke bhī ban jaate haiñ afsāne bahut
is liye sunta hun 'mohsin' har fasana ghaur se
ek haqiqat ke bhi ban jate hain afsane bahut
us se mil kar usī ko pūchhte haiñ
be-ḳhayālī sī be-ḳhayālī hai
us se mil kar usi ko puchhte hain
be-KHayali si be-KHayali hai
ab ke mausam meñ ye meyār-e-junūñ Thahrā hai
sar salāmat raheñ dastār na rahne paa.e
ab ke mausam mein ye meyar-e-junun Thahra hai
sar salamat rahen dastar na rahne pae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
lafzoñ ko e'timād kā lahja bhī chāhiye
zikr-e-sahar bajā hai yaqīn-e-sahar bhī hai
lafzon ko e'timad ka lahja bhi chahiye
zikr-e-sahar baja hai yaqin-e-sahar bhi hai
badan ko rauñdne vaalo zamīr zinda hai
jo haq kī pūchh rahe ho to haq adā na huā
badan ko raundne walo zamir zinda hai
jo haq ki puchh rahe ho to haq ada na hua
baat kahne kī hamesha bhūle
laakh añgusht pe dhāgā bāñdhā
baat kahne ki hamesha bhule
lakh angusht pe dhaga bandha
'mohsin' apnā.iyat kī fazā bhī to ho
sirf dīvār-o-dar ko makāñ mat samajh
'mohsin' apnaiyat ki faza bhi to ho
sirf diwar-o-dar ko makan mat samajh
lafzoñ ke ehtiyāt ne ma.anī badal diye
is ehtimām-e-shauq meñ husn-e-asar gayā
lafzon ke ehtiyat ne mani badal diye
is ehtimam-e-shauq mein husn-e-asar gaya
'mohsin' aur bhī nikhregā in sheroñ kā mafhūm
apne aap ko pahchāneñge jaise jaise log
'mohsin' aur bhi nikhrega in sheron ka mafhum
apne aap ko pahchanenge jaise jaise log
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ai mashīhāo agar chāragarī hai dushvār
ho sake tum se nayā zaḳhm lagāte jaao
ai mashihao agar chaaragari hai dushwar
ho sake tum se naya zaKHm lagate jao
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sochā thā ki us bazm meñ ḳhāmosh raheñge
mauzū-e-suḳhan ban ke rahī kam-suḳhanī bhī
socha tha ki us bazm mein KHamosh rahenge
mauzu-e-suKHan ban ke rahi kam-suKHani bhi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
iblāġh ke liye na tum aḳhbār dekhnā
ho justujū to kūcha-o-bāzār dekhnā
iblagh ke liye na tum aKHbar dekhna
ho justuju to kucha-o-bazar dekhna
ḳhanda-e-lab meñ nihāñ zaḳhm-e-hunar dekhegā kaun
bazm meñ haiñ sab ke sab ahl-e-nazar dekhegā kaun
KHanda-e-lab mein nihan zaKHm-e-hunar dekhega kaun
bazm mein hain sab ke sab ahl-e-nazar dekhega kaun
pahle jo kahā ab bhī vahī kahte haiñ 'mohsin'
itnā hai ba-andāz-e-digar kahne lage haiñ
pahle jo kaha ab bhi wahi kahte hain 'mohsin'
itna hai ba-andaz-e-digar kahne lage hain
koī sūrat nahīñ ḳharābī kī
kis ḳharābe meñ bas rahā hai jism
koi surat nahin KHarabi ki
kis KHarabe mein bas raha hai jism