Sher of Mufti Sadruddin Aazurda
ai dil tamām naf.a hai saudā-e-ishq meñ
ik jaan kā ziyāñ hai so aisā ziyāñ nahīñ
ai dil tamam nafa hai sauda-e-ishq mein
ek jaan ka ziyan hai so aisa ziyan nahin
-
Tag : Love
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo aur va.ada vasl kā qāsid nahīñ nahīñ
sach sach batā ye lafz unhī kī zabāñ ke haiñ
wo aur wada wasl ka qasid nahin nahin
sach sach bata ye lafz unhi ki zaban ke hain
'āzurdā' mar ke kūcha-e-jānāñ meñ rah gayā
dī thī duā kisī ne ki jannat meñ ghar mile
'azurda' mar ke kucha-e-jaanan mein rah gaya
di thi dua kisi ne ki jannat mein ghar mile
is dard-e-judā.ī se kahīñ jaan nikal jaa.e
'āzurdā' mire haq meñ zarā yuuñ bhī duā kar
is dard-e-judai se kahin jaan nikal jae
'azurda' mere haq mein zara yun bhi dua kar
nāseh yahāñ ye fikr hai siina bhī chaak ho
hai fikr-e-baḳhiya tujh ko garebāñ ke chaak meñ
naseh yahan ye fikr hai sina bhi chaak ho
hai fikr-e-baKHiya tujh ko gareban ke chaak mein
kaTtī kisī tarah se nahīñ ye shab-e-firāq
shāyad ki gardish aaj tujhe āsmāñ nahīñ
kaTti kisi tarah se nahin ye shab-e-firaq
shayad ki gardish aaj tujhe aasman nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
falak ne bhī sīkhe haiñ tere hī taur
ki apne kiye par pashemāñ nahīñ
falak ne bhi sikhe hain tere hi taur
ki apne kiye par pasheman nahin
maiñ aur zauq-e-bāda-kashī le ga.iiñ mujhe
ye kam-nigāhiyāñ tirī bazm-e-sharāb meñ
main aur zauq-e-baada-kashi le gain mujhe
ye kam-nigahiyan teri bazm-e-sharab mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download