Sher of Naheed Virk
tū dard bhī duā bhī tū zaḳhm bhī davā bhī
shikve bhī haiñ tujhī se aur pyaar bhī tujhī se
tu dard bhi dua bhi tu zaKHm bhi dawa bhi
shikwe bhi hain tujhi se aur pyar bhi tujhi se
shaam kī shaam se sargoshī sunī thī ik baar
bas tabhī se tujhe imkān meñ rakkhā huā hai
sham ki sham se sargoshi suni thi ek bar
bas tabhi se tujhe imkan mein rakkha hua hai
-
Tag : Shaam
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kitnī vīrānī hai mere andar
kis qadar terī kamī hai mujh meñ
kitni virani hai mere andar
kis qadar teri kami hai mujh mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bin tire vaqt hī guzartā hai
bin tire zindagī nahīñ hotī
bin tere waqt hi guzarta hai
bin tere zindagi nahin hoti
be-sabab ḳhāmushī nahīñ oḌhī
terī āñkhoñ kā hukm maanā hai
be-sabab KHamushi nahin oDhi
teri aankhon ka hukm mana hai
zindagī is qadar burī bhī nahīñ
dekh maiñ muskurā rahī huuñ nā
zindagi is qadar buri bhi nahin
dekh main muskura rahi hun na
koī to baat us kī maan letī
mohabbat umr meñ mujh se baḌī thī
koi to baat us ki man leti
mohabbat umr mein mujh se baDi thi
kitnī ḳhvāhisheñ dil meñ paltī haiñ magar 'nāhīd'
haath hī na.iiñ aate bhāgte hue lamhe
kitni KHwahishen dil mein palti hain magar 'nahid'
hath hi nain aate bhagte hue lamhe
reza reza honā bantā hai mirā
tum mukammal mere dil par utre ho
reza reza hona banta hai mera
tum mukammal mere dil par utre ho
jaane kis samt uḌtā phirtā hai
merā ye dil tire ḳhayāl meñ gum
jaane kis samt uDta phirta hai
mera ye dil tere KHayal mein gum
ya.anī ki tū qadīm jazīra hai ishq kā
aur is meñ huuñ hunūt-shuda shāhzādī maiñ
yani ki tu qadim jazira hai ishq ka
aur is mein hun hunut-shuda shahzadi main
maan letī huuñ mukammal ho tum
maan letī huuñ kamī hai mujh meñ
man leti hun mukammal ho tum
man leti hun kami hai mujh mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mujhe dard kī bārishoñ meñ bahā kar
vo rahnā tirā be-ḳhabar yaad aayā
mujhe dard ki barishon mein baha kar
wo rahna tera be-KHabar yaad aaya
aur phir dil ne us ko chhoḌ diyā
jab ta'alluq bahāl thā hī nahīñ
aur phir dil ne us ko chhoD diya
jab ta'alluq bahaal tha hi nahin
vo hijrateñ hoñ hijr ho yā qissa-e-visāl
aa phir se mere naam sabhī vāqi.āt kar
wo hijraten hon hijr ho ya qissa-e-visal
aa phir se mere nam sabhi waqiat kar
maiñ us ke dhyān meñ khoī huī thī
sabhī misre ġhazal ke saj ga.e haiñ
main us ke dhyan mein khoi hui thi
sabhi misre ghazal ke saj gae hain
ab to vo shahr-e-ḳhamoshāñ kā makīñ ho chukā hai
apnī āñkhoñ se mire aañsū bahāne vaalā
ab to wo shahr-e-KHamoshan ka makin ho chuka hai
apni aankhon se mere aansu bahane wala
ḳhushk hone hī nahīñ detī aañkh
vo jo sāvan kī jhaḌī hai mujh meñ
KHushk hone hi nahin deti aankh
wo jo sawan ki jhaDi hai mujh mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shoḳh havāoñ ke āñchal meñ tham tham kar
shaam se hī haiñ dard purāne yaad aa.e
shoKH hawaon ke aanchal mein tham tham kar
sham se hi hain dard purane yaad aae
sun kisī din to mire ġham kī kahānī
tujh ko dard-e-dil batānā chāhtī huuñ
sun kisi din to mere gham ki kahani
tujh ko dard-e-dil batana chahti hun
merī āñkheñ tirī diid kī lālchī
ya.anī tū mujh ko yūsuf-numā sāhibā
meri aankhen teri did ki lalchi
yani tu mujh ko yusuf-numa sahiba