Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Naseem Bharat Puri

1861 - 1909

Prominent disciple of Dagh Dehlavi who defended his master against all the poetic objections raised about his poetry.

Prominent disciple of Dagh Dehlavi who defended his master against all the poetic objections raised about his poetry.

Sher of Naseem Bharat Puri

110
Favorite

SORT BY

apnī mahfil meñ mujhe dekh ke kahtā hai vo but

kyuuñ mire ghar meñ musalmān chale aate haiñ

apni mahfil mein mujhe dekh ke kahta hai wo but

kyun mere ghar mein musalman chale aate hain

muñh merī taraf hai to nazar ġhair jānib

karte haiñ kidhar baat kidhar dekh rahe haiñ

munh meri taraf hai to nazar ghair ki jaanib

karte hain kidhar baat kidhar dekh rahe hain

tasalliyāñ bhī nahīñ un chheḌ se ḳhālī

rulā ke chhoḌte haiñ vo hañsā hañsā ke mujhe

tasalliyan bhi nahin un ki chheD se KHali

rula ke chhoDte hain wo hansa hansa ke mujhe

tumhārī teġh se āñkheñ lagī haiñ marne vāloñ

ye lailā kab mirī jaañ parda-e-mahmil se niklegī

tumhaari tegh se aankhen lagi hain marne walon ki

ye laila kab meri jaan parda-e-mahmil se niklegi

dil shāmat aa.ī kar phañs gayā

yaar ke gesu-e-pur-ḳham kyā kareñ

dil ki shamat aai ja kar phans gaya

yar ke gesu-e-pur-KHam kya karen

charāġh-e-shām-e-ġharībī thā meñ zamāne meñ

kisī ne aa ke na ThanDā kiyā jalā ke mujhe

charagh-e-sham-e-gharibi tha mein zamane mein

kisi ne aa ke na ThanDa kiya jala ke mujhe

de deñ abhī kare jo koī ḳhūb-rū pasand

ham ko nahīñ pasand dil-e-ārzū-pasand

de den abhi kare jo koi KHub-ru pasand

hum ko nahin pasand dil-e-arzu-pasand

har-vaqt zid burī hai dekho

kahnā bhī kiyā karo kisī

har-waqt ki zid buri hai dekho

kahna bhi kiya karo kisi ka

sharāb-e-mohabbat ko ai zāhido tum

burā gar kahoge to achchhā na hogā

sharab-e-mohabbat ko ai zahido tum

bura gar kahoge to achchha na hoga

charāġh-e-shām-e-ġharībī thā maiñ zamāne meñ

kisī ne aa ke na ThanDā kiyā jalā ke mujhe

charagh-e-sham-e-gharibi tha main zamane mein

kisi ne aa ke na ThanDa kiya jala ke mujhe

dil bhalā āshiqoñ ke paas kahāñ

aap chīn-chān lete haiñ

dil bhala aashiqon ke pas kahan

aap hi chin-chan lete hain

sahnī bhī jafā un karnī bhī vafā un se

un bhī ḳhushī karnī dil bhī kahā karnā

sahni bhi jafa un ki karni bhi wafa un se

un ki bhi KHushi karni dil ka bhi kaha karna

yuuñ daad vo dete haiñ vafā

ye kaam nahīñ hai aadmī

yun dad wo dete hain wafa ki

ye kaam nahin hai aadmi ka

ye but qismat ke puure haT ke puure dhun ke puure haiñ

koī in meñ se ho va.ade puurā ho nahīñ saktā

ye but qismat ke pure haT ke pure dhun ke pure hain

koi in mein se ho wade ka pura ho nahin sakta

apnī mahfil meñ mujhe dekh ke kahtā hai vo but

kyuuñ mire ghar meñ musalmān chale aate haiñ

apni mahfil mein mujhe dekh ke kahta hai wo but

kyun mere ghar mein musalman chale aate hain

aap mahfil-e-ishrat ko na chhoḌā ḳhālī

maiñ agar aa na sakā merī shikāyat aa.ī

aap ki mahfil-e-ishrat ko na chhoDa KHali

main agar aa na saka meri shikayat aai

bosa bhī mujhe denā hoñToñ meñ bhī kuchh kahnā

jiine davā denā marne duā karnā

bosa bhi mujhe dena honTon mein bhi kuchh kahna

jine ki dawa dena marne ki dua karna

mai-kade ke qarīb ham vaa.iz

terī zid se makān lete haiñ

mai-kade ke qarib hum waiz

teri zid se makan lete hain

Recitation

Speak Now