Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Naseer Ahmad Nasir's Photo'

Naseer Ahmad Nasir

1954 | Rawalpindi, Pakistan

Sher of Naseer Ahmad Nasir

abhī vo aañkh bhī soī nahīñ hai

abhī vo ḳhvāb bhī jaagā huā hai

abhi wo aankh bhi soi nahin hai

abhi wo KHwab bhi jaga hua hai

ḳhamoshī jhāñktī hai khiḌkiyoñ se

galī meñ shor phailā huā hai

KHamoshi jhankti hai khiDkiyon se

gali mein shor sa phaila hua hai

raat bhar ḳhvāb dekhne vaale

din sachchā.iyoñ meñ chīḳh uThe

raat bhar KHwab dekhne wale

din ki sachchaiyon mein chiKH uThe

falsafe saare kitāboñ meñ ulajh kar rah ga.e

dars-gāhoñ meñ nisāboñ thakan baaqī rahī

falsafe sare kitabon mein ulajh kar rah gae

dars-gahon mein nisabon ki thakan baqi rahi

havā gum-sum khaḌī hai rāste meñ

musāfir soch meñ Duubā huā hai

hawa gum-sum khaDi hai raste mein

musafir soch mein Duba hua hai

mohabbat ke Thikāne DhūñDhtī hai

badan lā-makānī mausamoñ meñ

mohabbat ke Thikane DhunDhti hai

badan ki la-makani mausamon mein

log phirte haiñ bhare shahr tanhā.ī meñ

sard jismoñ salīboñ pe uThā kar chehre

log phirte hain bhare shahr ki tanhai mein

sard jismon ki salibon pe uTha kar chehre

jab pukārā kisī musāfir ne

rāste khā.īyoñ meñ chīḳh uThe

jab pukara kisi musafir ne

raste khaiyon mein chiKH uThe

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now