Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Nasir Shahzad's Photo'

Nasir Shahzad

1937 - 2007 | Okara, Pakistan

Sher of Nasir Shahzad

1.6K
Favorite

SORT BY

phir yuuñ huā ki mujh se vo yūñhī bichhaḌ gayā

phir yuuñ huā ki ziist ke din yūñhī kaT ga.e

phir yun hua ki mujh se wo yunhi bichhaD gaya

phir yun hua ki zist ke din yunhi kaT gae

aḳhroT khā.eñ tāpeñ añgeThī pe aag aa

raste tamām gaañv ke kohre se aT ga.e

aKHroT khaen tapen angeThi pe aag aa

raste tamam ganw ke kohre se aT gae

nayyā bāñdho nadī kināre sakhī

chāñd bairāg raat tyaag lage

nayya bandho nadi kinare sakhi

chand bairag raat tyag lage

jab ki tujh bin nahīñ maujūd koī

apne hone yaqīñ kaise karūñ

jab ki tujh bin nahin maujud koi

apne hone ka yaqin kaise karun

tujh se bichhḌe gaañv chhūTā shahr meñ aa kar base

taj diye sab sañgī sāthī tyaag Daalā des bhī

tujh se bichhDe ganw chhuTa shahr mein aa kar base

taj diye sab sangi sathi tyag Dala des bhi

tujh se milī nigāh to dekhā ki darmiyāñ

chāñdī ke ābshār the sone raah thī

tujh se mili nigah to dekha ki darmiyan

chandi ke aabshaar the sone ki rah thi

phir mujhe mil nadī kināre kahīñ

phir baḌhā maan aa ke rāhoñ

phir mujhe mil nadi kinare kahin

phir baDha man aa ke rahon ka

ham vo log haiñ jo chāhat meñ

na sakeñ to mar rahte haiñ

hum wo log hain jo chahat mein

ji na saken to mar rahte hain

kuchh gurezāñ bhī rahe ham ḳhud se

kuchh kahānī bhī alamnāk huī

kuchh gurezan bhi rahe hum KHud se

kuchh kahani bhi alamnak hui

yaad aa.e mujh ko bahut jab shab kaTe jab pau phaTe

jab vādiyoñ meñ duur tak kohrā dikhe be-ant

yaad aae tu mujh ko bahut jab shab kaTe jab pau phaTe

jab wadiyon mein dur tak kohra dikhe be-ant sa

jinheñ tire naam chaah hai ye zamīn un gavāh hai

vahīñ karbalā vo dasht hai vahīñ qasr-e-kūfa-o-shām hai

jinhen tere nam ki chah hai ye zamin un ki gawah hai

wahin karbala ka wo dasht hai wahin qasr-e-kufa-o-sham hai

tujhe pachhāḌ na deñ raushnī meñ tere rafīq

dayā bujhe na bujhe to bhī phūñk maar to le

tujhe pachhaD na den raushni mein tere rafiq

daya bujhe na bujhe to bhi phunk mar to le

ek kaaTā raam ne siitā ke saath

dūsrā ban boss mere naam par

ek kaTa ram ne sita ke sath

dusra ban boss mere nam par

nain nachant haiñ dekh ke tujh ko

dil hai azal se hakkā-bakkā

nain nachant hain dekh ke tujh ko

dil hai azal se hakka-bakka

qaa.em hai aabrū to ġhanīmat yahī samajh

maile se haiñ jo kapḌe phaTā jo boot hai

qaem hai aabru to ghanimat yahi samajh

maile se hain jo kapDe phaTa sa jo boot hai

denā mirā sandesh sakhī phir

pahle chhūnā us ke paañv

dena mera sandesh sakhi phir

pahle chhuna us ke panw

saañs meñ sājnā havā tarah

saañs silsila havā se hai

sans mein sajna hawa ki tarah

sans ka silsila hawa se hai

shāh-balūt ke uupar dekh

chāñd dharā hai thālī par

shah-balut ke upar dekh

chand dhara hai thaali par

umroñ ke bujhte māmūre meñ

maiñ ne har lamha tujh ko sochā

umron ke bujhte mamure mein

main ne har lamha tujh ko socha

paaTī haiñ ham ne biphrī chanābeñ tire liye

ham le ga.e haiñ tujh ko svayamvar se jiit ke

paTi hain hum ne biphri chanaben tere liye

hum le gae hain tujh ko swayamwar se jit ke

to sharāfatoñ maqām hai to sadāqatoñ davām hai

jahāñ farq-e-shāh-o-gadā nahīñ tire diin vo nizām hai

to sharafaton ka maqam hai to sadaqaton ka dawam hai

jahan farq-e-shah-o-gada nahin tere din ka wo nizam hai

khile dhaan khilkhilā kar paḌe naddiyoñ meñ naake

ghanī ḳhushbuoñ se mahke mire des ke ilāqe

khile dhan khilkhila kar paDe naddiyon mein nake

ghani KHushbuon se mahke mere des ke ilaqe

pustakoñ meñ parānoñ meñ arzoñ meñ āsmānoñ meñ

ek naam bhagTī ek qaul kalima

pustakon mein paranon mein arzon mein aasmanon mein

ek nam ki bhagTi ek qaul ka kalima

dariyā pe Tīkrī se pare ḳhānqāh thī

tab tere mere pyaar duniyā gavāh thī

dariya pe Tikri se pare KHanqah thi

tab tere mere pyar ki duniya gawah thi

tale teġh ke vo ibādateñ tirī shaan vo shahādateñ

vo hikāyateñ vo rivāyateñ tire saare ghar pe salām hai

tale tegh ke wo ibaadaten teri shan ki wo shahadaten

wo hikayaten wo riwayaten tere sare ghar pe salam hai

dekhā qad-e-gunāh pe jab is ko multafit

baḌh kar had-e-nigāh lagī us ko Dhāñpne

dekha qad-e-gunah pe jab is ko multafit

baDh kar had-e-nigah lagi us ko Dhanpne

paañv ke nīche saraktī huī riit

sar meñ masnad havā baaqī hai

panw ke niche sarakti hui rit

sar mein masnad ki hawa baqi hai

majma.a nahīñ mujalla hai ash.ār jagah

bhar aur koī svāñg jo honā hoot hai

majma nahin mujalla hai ashaar ki jagah

bhar aur koi swang jo hona hi hoot hai

hijratoñ meñ huzūriyoñ ke jatan

paañv ko dūriyoñ ne gherā hai

hijraton mein huzuriyon ke jatan

panw ko duriyon ne ghera hai

ik ḳhitta-e-ḳhūñ meñ kahīñ dariyā ke kināre

dīvār-e-zamāna se girā dhyān phisal kar

ek KHitta-e-KHun mein kahin dariya ke kinare

diwar-e-zamana se gira dhyan phisal kar

chaukhaTā dil yahāñ hai hū-ba-hū tujh koī

hoñT bhī āñkheñ bhī chhab Dhab bhī tujhī face bhī

chaukhaTa dil ka yahan hai hu-ba-hu tujh sa koi

honT bhi aankhen bhi chhab Dhab bhi tujhi sa face bhi

sañgat diloñ jīvanoñ marnoñ irtibāt

phir Dar paḌā thā kyā tujhe gird-o-navāh

sangat dilon ki jiwanon marnon ka irtibaat

phir Dar paDa tha kya tujhe gird-o-nawah ka

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now