Sher of nayan sukh
jitnā ki hai ifrāt tirī kam-nigahī kā
utnā hī idhar dekho to ye dīda-e-nam hai
jitna ki hai ifraat teri kam-nigahi ka
utna hi idhar dekho to ye dida-e-nam hai
jaave bhī phir aave bhī ka.ī shakl se har baar
chakkar meñ kahāñ, par ye mazā taan meñ dekhā
jawe bhi phir aawe bhi kai shakl se har bar
chakkar mein kahan, par ye maza tan mein dekha
aage ko baḌh sake hai na pīchhe ko haT sake
yaañ tak tire ḳhayāl meñ ab DaT gayā hai dil
aage ko baDh sake hai na pichhe ko haT sake
yan tak tere KHayal mein ab DaT gaya hai dil
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo jo ik tolā ka.ī māsha thī yaarī tum se
rattī bhar bhī na rahā is meñ kuchh āsār kahīñ
wo jo ek tola kai masha thi yari tum se
ratti bhar bhi na raha is mein kuchh aasar kahin
chaTpaTī dil kī bujhī yaar ke dekhe se yuuñ
bhūke ko jaise kahīñ se goyā khānā aayā
chaTpaTi dil ki bujhi yar ke dekhe se yun
bhuke ko jaise kahin se goya khana aaya
is mājrā ko jā ke kahūñ kis ke rū-ba-rū
merī to dauḌ haigī tire āstāñ tilak
is majra ko ja ke kahun kis ke ru-ba-ru
meri to dauD haigi tere aastan tilak
aur sab 'mānī' ne terī to banā.ī tasvīr
par durust ho na sakī chehre kī parvāz hanūz
aur sab 'mani' ne teri to banai taswir
par durust ho na saki chehre ki parwaz hanuz
ye saarā qaziya to ham se hai is se tum ko kyā
tum apne ek taraf ho raho huā so havā
ye sara qaziya to hum se hai is se tum ko kya
tum apne ek taraf ho raho hua so hawa
īdhar se sete jaao aur ūdhar se phahTtā jaa.e
aise tarah ke kapḌe ko phir siije bhī nahīñ
idhar se sete jao aur udhar se phahTta jae
aise tarah ke kapDe ko phir sije bhi nahin
dekhā hai kahīñ gul ne tujhe jis kī ḳhushī se
phūlā hai vo itnā ki qabā meñ na samāve
dekha hai kahin gul ne tujhe jis ki KHushi se
phula hai wo itna ki qaba mein na samawe
ā.īne se mujh dal ke tahayyur ko milā dekh
ye donoñ barābar haiñ koī besh na kam hai
aaine se mujh dal ke tahayyur ko mila dekh
ye donon barabar hain koi besh na kam hai
pūchhe koī kisī ko so imkān hī nahīñ
nā-pursī kā ye daur anokhā bhalā phirā
puchhe koi kisi ko so imkan hi nahin
na-pursi ka ye daur anokha bhala phira
logoñ ke phoḌtā phire shīshe
mohtasib ko to masḳharā kahiye
logon ke phoDta phire shishe
mohtasib ko to masKHara kahiye
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sāne.a mirā vo hai ki ho kaisī hī chob-e-ḳhushk
sau sau dafa vo chāhe to us ko harī kare
sanea mera wo hai ki ho kaisi hi chob-e-KHushk
sau sau dafa wo chahe to us ko hari kare