Sher of Noshi Gilani
tujh se ab aur mohabbat nahīñ kī jā saktī
ḳhud ko itnī bhī aziyyat nahīñ dī jā saktī
tujh se ab aur mohabbat nahin ki ja sakti
KHud ko itni bhi aziyyat nahin di ja sakti
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
us shahr meñ kitne chehre the kuchh yaad nahīñ sab bhuul ga.e
ik shaḳhs kitāboñ jaisā thā vo shaḳhs zabānī yaad huā
us shahr mein kitne chehre the kuchh yaad nahin sab bhul gae
ek shaKHs kitabon jaisa tha wo shaKHs zabani yaad hua
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ faisle kī ghaḌī se guzar chukī huuñ magar
kisī kā dīda-e-hairāñ mirī talāsh meñ hai
main faisle ki ghaDi se guzar chuki hun magar
kisi ka dida-e-hairan meri talash mein hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kuchh nahīñ chāhiye tujh se ai mirī umr-e-ravāñ
mirā bachpan mire jugnū mirī guḌiyā lā de
kuchh nahin chahiye tujh se ai meri umr-e-rawan
mera bachpan mere jugnu meri guDiya la de
jalā.e rakkhūñgī sub.h tak maiñ tumhāre rastoñ meñ apnī āñkheñ
magar kahīñ zabt TuuT jaa.e to bārisheñ bhī shumār karnā
jalae rakkhungi subh tak main tumhaare raston mein apni aankhen
magar kahin zabt TuT jae to barishen bhi shumar karna
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye ham hī jānte haiñ judā.ī ke moḌ par
is dil kā jo bhī haal tujhe dekh kar huā
ye hum hi jaante hain judai ke moD par
is dil ka jo bhi haal tujhe dekh kar hua
-
Tag : Farewell
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye aarzū thī ki ham us ke saath saath chaleñ
magar vo shaḳhs to rasta badaltā jaatā hai
ye aarzu thi ki hum us ke sath sath chalen
magar wo shaKHs to rasta badalta jata hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kisī harf meñ kisī baab meñ nahīñ aa.egā
tirā zikr merī kitāb meñ nahīñ aa.egā
kisi harf mein kisi bab mein nahin aaega
tera zikr meri kitab mein nahin aaega
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dil kā kyā hai dil ne kitne manzar dekhe lekin
āñkheñ pāgal ho jaatī haiñ ek ḳhayāl se pahle
dil ka kya hai dil ne kitne manzar dekhe lekin
aankhen pagal ho jati hain ek KHayal se pahle
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye sardiyoñ kā udaas mausam ki dhaḌkaneñ barf ho ga.ī haiñ
jab un kī yaḳh-bastagī parakhnā tamāzateñ bhī shumār karnā
ye sardiyon ka udas mausam ki dhaDkanen barf ho gai hain
jab un ki yaKH-bastagi parakhna tamazaten bhi shumar karna
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ tanhā laḌkī dayār-e-shab meñ jalā.ūñ sach ke diye kahāñ tak
siyāhkāroñ kī saltanat meñ maiñ kis tarah āftāb likkhūñ
main tanha laDki dayar-e-shab mein jalaun sach ke diye kahan tak
siyahkaron ki saltanat mein main kis tarah aaftab likkhun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
titliyāñ jugnū sabhī hoñge magar dekhegā kaun
ham sajā bhī leñ agar dīvār-o-dar dekhegā kaun
titliyan jugnu sabhi honge magar dekhega kaun
hum saja bhi len agar diwar-o-dar dekhega kaun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
use laakh dil se pukār lo use dekh lo
koī ek harf javāb meñ nahīñ aa.egā
use lakh dil se pukar lo use dekh lo
koi ek harf jawab mein nahin aaega
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
band hotī kitāboñ meñ uḌtī huī titliyāñ Daal diiñ
kis kī rasmoñ kī jaltī huī aag meñ laḌkiyāñ Daal diiñ
band hoti kitabon mein uDti hui titliyan Dal din
kis ki rasmon ki jalti hui aag mein laDkiyan Dal din
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download