Sher of Ram Riyaz
zindagī kashmakash-e-vaqt meñ guzrī apnī
din ne jiine na diyā raat ne marne na diyā
zindagi kashmakash-e-waqt mein guzri apni
din ne jine na diya raat ne marne na diya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tire intizār meñ is tarah mirā ahad-e-shauq guzar gayā
sar-e-shām jaise bisāt-e-dil koī ḳhasta-hāl sameT le
tere intizar mein is tarah mera ahad-e-shauq guzar gaya
sar-e-sham jaise bisat-e-dil koi KHasta-haal sameT le
ab kahāñ vo pahlī sī fursateñ mayassar haiñ
saarā din safar karnā saarī raat ġham karnā
ab kahan wo pahli si fursaten mayassar hain
sara din safar karna sari raat gham karna
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aañsū jo baheñ surḳh to ho jaatī haiñ āñkheñ
dil aisā sulagtā hai dhuāñ tak nahīñ aatā
aansu jo bahen surKH to ho jati hain aankhen
dil aisa sulagta hai dhuan tak nahin aata
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zindagī to sapnā hai kaun 'rām' apnā hai
kyā kisī ko dukh denā kyā kisī kā ġham karnā
zindagi to sapna hai kaun 'ram' apna hai
kya kisi ko dukh dena kya kisi ka gham karna
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham os ke qatre haiñ ki bikhre hue motī
dhokā nazar aa.e to hameñ rol ke dekho
hum os ke qatre hain ki bikhre hue moti
dhoka nazar aae to hamein rol ke dekho
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jo tere ġham meñ jale haiñ vo phir bujhe hī nahīñ
jab in kī raakh kuredo sharāre zinda haiñ
jo tere gham mein jale hain wo phir bujhe hi nahin
jab in ki rakh kuredo sharare zinda hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download