Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Sarvat Husain's Photo'

Sarvat Husain

1949 - 1996 | Karachi, Pakistan

Prominent among New Wave poets in Pakistan. Committed suicide at a young age

Prominent among New Wave poets in Pakistan. Committed suicide at a young age

TOP 20 SHAYARI of Sarvat Husain

bhar jā.eñge jab zaḳhm to ā.ūñgā dobārā

maiñ haar gayā jañg magar dil nahīñ haarā

bhar jaenge jab zaKHm to aaunga dobara

main haar gaya jang magar dil nahin haara

maut ke darinde meñ ik kashish to hai 'sarvat'

log kuchh bhī kahte hoñ ḳhud-kushī ke baare meñ

maut ke darinde mein ek kashish to hai 'sarwat'

log kuchh bhi kahte hon KHud-kushi ke bare mein

miTTī pe numūdār haiñ paanī ke zaḳhīre

in meñ koī aurat se ziyāda nahīñ gahrā

miTTi pe numudar hain pani ke zaKHire

in mein koi aurat se ziyaada nahin gahra

sochtā huuñ ki us se bach niklūñ

bach nikalne ke ba.ad kyā hogā

sochta hun ki us se bach niklun

bach nikalne ke baad kya hoga

do chīzeñ is dhartī meñ dekhne vaalī haiñ

miTTī sundartā dekho aur mujhe dekho

do hi chizen is dharti mein dekhne wali hain

miTTi ki sundarta dekho aur mujhe dekho

milnā aur bichhaḌ jaanā kisī raste par

ik yahī qissa ādamiyoñ ke saath rahā

milna aur bichhaD jaana kisi raste par

ek yahi qissa aadamiyon ke sath raha

'sarvat' tum apne logoñ se yuuñ milte ho

jaise un logoñ se milnā phir nahīñ hogā

'sarwat' tum apne logon se yun milte ho

jaise un logon se milna phir nahin hoga

bujhī ruuh pyaas lekin saḳhī

mire saath merā badan bhī to hai

bujhi ruh ki pyas lekin saKHi

mere sath mera badan bhi to hai

ḳhush-libāsī hai baḌī chiiz magar kyā kiije

kaam is pal hai tire jism uryānī se

KHush-libasi hai baDi chiz magar kya kije

kaam is pal hai tere jism ki uryani se

maiñ aag dekhtā thā aag se judā kar ke

balā rañg thā rañgīni-e-qabā se udhar

main aag dekhta tha aag se juda kar ke

bala ka rang tha rangini-e-qaba se udhar

shahzādī tujhe kaun batā.e tere charāg-kade tak

kitnī mehrābeñ paḌtī haiñ kitne dar aate haiñ

shahzadi tujhe kaun batae tere charag-kade tak

kitni mehraben paDti hain kitne dar aate hain

ik dāstān ab bhī sunāte haiñ farsh o baam

vo kaun thī jo raqs ke aalam meñ mar ga.ī

ek dastan ab bhi sunate hain farsh o baam

wo kaun thi jo raqs ke aalam mein mar gai

maiñ kitāb-e-ḳhāk kholūñ to khule

kyā nahīñ maujūd kyā maujūd hai

main kitab-e-KHak kholun to khule

kya nahin maujud kya maujud hai

mire siine meñ dil hai koī shahzāda-e-ḳhud-sar

kisī din us ko tāj-o-taḳht se mahrūm kar dekhūñ

mere sine mein dil hai ya koi shahzada-e-KHud-sar

kisi din us ko taj-o-taKHt se mahrum kar dekhun

vo ik sūraj sub.h talak mire pahlū meñ

apnī sab nārāzgiyoñ ke saath rahā

wo ek suraj subh talak mere pahlu mein

apni sab naraazgiyon ke sath raha

kabhī teġh-e-tez supurd kabhī tohfa-e-gul-e-tar diyā

kisī shāh-zādī ke ishq ne mirā dil sitāroñ se bhar diyā

kabhi tegh-e-tez supurd ki kabhi tohfa-e-gul-e-tar diya

kisi shah-zadi ke ishq ne mera dil sitaron se bhar diya

maiñ apnī pyaas ke hamrāh mashkīza uThā.e

ki in sairāb logoñ meñ koī pyāsā milegā

main apni pyas ke hamrah mashkiza uThae

ki in sairab logon mein koi pyasa milega

siyāhī phertī jaatī haiñ rāteñ bahr o bar pe

inhī tārīkiyoñ se mujh ko bhī hissa milegā

siyahi pherti jati hain raaten bahr o bar pe

inhi tarikiyon se mujh ko bhi hissa milega

saya-e-abr se pūchho 'sarvat'

apne hamrāh agar le jaa.e

saya-e-abr se puchho 'sarwat'

apne hamrah agar le jae

bahut musir the ḳhudāyān-e-sābit-o-sayyār

so maiñ ne aa.ina o āsmāñ pasand kiye

bahut musir the KHudayan-e-sabit-o-sayyar

so main ne aaina o aasman pasand kiye

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now