Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Sarwat Zehra's Photo'

Sarwat Zehra

1972 | Virginia, USA

Prominent women poet from Pakistan, living in USA.

Prominent women poet from Pakistan, living in USA.

Sher of Sarwat Zehra

878
Favorite

SORT BY

bint-e-havvā huuñ maiñ ye mirā jurm hai

aur phir shā.erī to kaḌā jurm hai

bint-e-hawwa hun main ye mera jurm hai

aur phir shaeri to kaDa jurm hai

ḳhvāb aur tamannā kyā hisāb rakhnā hai

ḳhvāhisheñ haiñ sadiyoñ umr to zarā hai

KHwab aur tamanna ka kya hisab rakhna hai

KHwahishen hain sadiyon ki umr to zara si hai

jaane vaale ko chale jaanā hai

phir bhī rasman pukārā jaa.e

jaane wale ko chale jaana hai

phir bhi rasman hi pukara jae

vaqt bhī ab mirā marham nahīñ hone paatā

dard kaisā hai jo maddham nahīñ hone paatā

waqt bhi ab mera marham nahin hone pata

dard kaisa hai jo maddham nahin hone pata

jo saarā din mire ḳhvāboñ ko reza reza karte haiñ

maiñ un lamhoñ ko kar raat bistar banātī huuñ

jo sara din mere KHwabon ko reza reza karte hain

main un lamhon ko si kar raat ka bistar banati hun

kahāñ pe khologe dard apnā kise kahoge

kahīñ chhupāo, ye haal le kar kahāñ chale ho

kahan pe khologe dard apna kise kahoge

kahin chhupao, ye haal le kar kahan chale ho

dil ke dariyā ne kināroñ se mohabbat kar

tez bahtā hai magar kam nahīñ hone paatā

dil ke dariya ne kinaron se mohabbat kar li

tez bahta hai magar kam nahin hone pata

ab to sañvārne ke liye hijr bhī nahīñ

saarā vabāl le ke ġhazal kar diyā gayā

ab to sanwarne ke liye hijr bhi nahin

sara wabaal le ke ghazal kar diya gaya

koī javāz DhūñDte ḳhayāl nahīñ rahā

tamām umr yūñhī be-ḳhayāl jāgte rahe

koi jawaz DhunDte KHayal hi nahin raha

tamam umr yunhi be-KHayal jagte rahe

kaise bujhā.eñ kaun bujhā.e bujhe bhī kyuuñ

is aag ko to ḳhuun meñ hal kar diyā gayā

kaise bujhaen kaun bujhae bujhe bhi kyun

is aag ko to KHun mein hal kar diya gaya

bas ek baar yaad ne tumhārā saath chhū liyā

phir is ke ba.ad to ka.ī jamāl jāgte rahe

bas ek bar yaad ne tumhaara sath chhu liya

phir is ke baad to kai jamal jagte rahe

tumhārī aas chādar se muñh chhupā.e hue

pukārtī huī rusvā.iyoñ meñ baiThī huuñ

tumhaari aas ki chadar se munh chhupae hue

pukarti hui ruswaiyon mein baiThi hun

mire jazboñ ko ye lafzoñ bandish maar detī hai

kisī se kyā kahūñ kyā zaat ke andar banātī huuñ

mere jazbon ko ye lafzon ki bandish mar deti hai

kisi se kya kahun kya zat ke andar banati hun

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now