Sher of Shaanul Haq Haqqi
baḌī talāsh se miltī hai zindagī ai dost
qazā kī tarah patā pūchhtī nahīñ aatī
baDi talash se milti hai zindagi ai dost
qaza ki tarah pata puchhti nahin aati
tum se ulfat ke taqāze na nibāhe jaate
varna ham ko bhī tamannā thī ki chāhe jaate
tum se ulfat ke taqaze na nibahe jate
warna hum ko bhi tamanna thi ki chahe jate
log tum se bhī sitam-pesha kahāñ hote haiñ
jo kahīñ kā na rakheñ aur phir apnā na kaheñ
log tum se bhi sitam-pesha kahan hote hain
jo kahin ka na rakhen aur phir apna na kahen