Sher of Tripurari
ai havā tū hī use eid-mubārak kahiyo
aur kahiyo ki koī yaad kiyā kartā hai
ai hawa tu hi use eid-mubarak kahiyo
aur kahiyo ki koi yaad kiya karta hai
kitnī dilkash haiñ ye bārish kī phuvāreñ lekin
aisī bārish meñ mirī jaan bhī jā saktī hai
kitni dilkash hain ye barish ki phuwaren lekin
aisi barish mein meri jaan bhi ja sakti hai
tum jise chāñd kahte ho vo asl meñ
āsmāñ ke badan par koī ghaav hai
tum jise chand kahte ho wo asl mein
aasman ke badan par koi ghaw hai
mohabbat meñ shikāyat kar rahā huuñ
shikāyat meñ mohabbat kar rahā huuñ
mohabbat mein shikayat kar raha hun
shikayat mein mohabbat kar raha hun
-
Tag : Jumbled words
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jise tum DhūñDtī rahtī ho mujh meñ
vo laḌkā jaane kab kā mar chukā hai
jise tum DhunDti rahti ho mujh mein
wo laDka jaane kab ka mar chuka hai
niiñd aa.e to kuchh surāġh mile
kaun hai dafn mere ḳhvāboñ meñ
nind aae to kuchh suragh mile
kaun hai dafn mere KHwabon mein
ye bārish kab rukegī kaun jaane
kahīñ maiñ mar na jā.ūñ tishnagī se
ye barish kab rukegi kaun jaane
kahin main mar na jaun tishnagi se
sher paḌhte hue ye tum ne kabhī sochā hai
sher kahte hue maiñ kitnī dafa.a martā huuñ
sher paDhte hue ye tum ne kabhi socha hai
sher kahte hue main kitni dafa marta hun
ek tasvīr banā.ī hai ḳhayāloñ ne abhī
aur tasvīr se ik shaḳhs nikal aayā hai
ek taswir banai hai KHayalon ne abhi
aur taswir se ek shaKHs nikal aaya hai
ek kirdār nayā roz jiyā kartā huuñ
mujh ko shā.er na kaho ek adākār huuñ maiñ
ek kirdar naya roz jiya karta hun
mujh ko shaer na kaho ek adakar hun main
kisī par bhī yaqīñ kar lete ho tum
tumhāre saath kyā dhoka huā hai
kisi par bhi yaqin kar lete ho tum
tumhaare sath kya dhoka hua hai
ka.ī lāsheñ haiñ mujh meñ dafn ya.anī
maiñ qabristān huuñ shurūāt hī se
kai lashen hain mujh mein dafn yani
main qabristan hun shuruat hi se
umr bhar laḌtā rahā huuñ us se
vo jo ik shaḳhs kabhī thā hī nahīñ
umr bhar laDta raha hun us se
wo jo ek shaKHs kabhi tha hi nahin
jin se milnā na huā un se bichhaḌ kar ro.e
ham to āñkhoñ kī har ik had se guzar kar ro.e
jin se milna na hua un se bichhaD kar roe
hum to aankhon ki har ek had se guzar kar roe
tum mire paas na aao ki yahī behtar hai
paas aane se to pahchān bhī jā saktī hai
tum mere pas na aao ki yahi behtar hai
pas aane se to pahchan bhi ja sakti hai
maiñ hāsil ho chukā huuñ jis badan ko
usī se pūchhtā huuñ kyā milā hai
main hasil ho chuka hun jis badan ko
usi se puchhta hun kya mila hai
pyaas aisī thī ki maiñ saarā samundar pī gayā
par mire hoñToñ ke ye donoñ kināre jal ga.e
pyas aisi thi ki main sara samundar pi gaya
par mere honTon ke ye donon kinare jal gae
qatl karnā hai na.e ḳhvāb kā so Dartā huuñ
kaañp jaa.eñ na mire haath ye ḳhuuñ karte hue
qatl karna hai nae KHwab ka so Darta hun
kanp jaen na mere hath ye KHun karte hue
jab se guzrā hai kisī husn ke bāzār se dil
dil ko mahsūs ye hotā hai ki bāzār huuñ maiñ
jab se guzra hai kisi husn ke bazar se dil
dil ko mahsus ye hota hai ki bazar hun main
maiñ tire jism ke jab paar nikal jā.ūñgā
vasl kī raat baḌī ġhaur-talab hogī vo
main tere jism ke jab par nikal jaunga
wasl ki raat baDi ghaur-talab hogi wo
ruuh hai tarjuma pāniyoñ kā agar
jism ya.anī samundar meñ ik naav hai
ruh hai tarjuma paniyon ka agar
jism yani samundar mein ek naw hai