aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher on Jumbled words

tujhe kis baat ġham hai vo itnā pūchh leñ mujh se

vo itnā pūchh leñ mujh se to phir kis baat ġham hai

she should just inquire, what causes me this pain

were she to ask this question, no ache would then remain

tujhe kis baat ka gham hai wo itna puchh len mujh se

wo itna puchh len mujh se to phir kis baat ka gham hai

she should just inquire, what causes me this pain

were she to ask this question, no ache would then remain

Mushtaq Husain Khan Hashmi Mushtaq

āshnā bevafā nahīñ hotā

bevafā āshnā nahīñ hotā

aashna bewafa nahin hota

bewafa aashna nahin hota

Meer Hasan

dil saaf ho kis tarah ki insāf nahīñ hai

insāf ho kis tarah ki dil saaf nahīñ hai

dil saf ho kis tarah ki insaf nahin hai

insaf ho kis tarah ki dil saf nahin hai

Mirza Salaamat Ali Dabeer

baat bhī kījiye dekh bhī lījiye

dekh bhī lījiye baat bhī kījiye

baat bhi kijiye dekh bhi lijiye

dekh bhi lijiye baat bhi kijiye

Ali Zaryoun

ab nahīñ mileñge ham kūcha-e-tamannā meñ

kūcha-e-tamannā meñ ab nahīñ mileñge ham

ab nahin milenge hum kucha-e-tamanna mein

kucha-e-tamanna mein ab nahin milenge hum

Jaun Eliya

ḳhvāb kyā hai raat ke naqsh-o-nigār banāo

raat ke naqsh-o-nigār banāo ḳhvāb kyā hai

KHwab ka kya hai raat ke naqsh-o-nigar banao

raat ke naqsh-o-nigar banao KHwab ka kya hai

Daniyal Tareer

mohabbat meñ shikāyat kar rahā huuñ

shikāyat meñ mohabbat kar rahā huuñ

mohabbat mein shikayat kar raha hun

shikayat mein mohabbat kar raha hun

Tripurari

zindagī ham se chāhtī kyā hai

chāhtī kyā hai zindagī ham se

zindagi hum se chahti kya hai

chahti kya hai zindagi hum se

Ajmal Siraj

kyā hue sūrat-nigārāñ ḳhvāb ke

ḳhvāb ke sūrat-nigārāñ kyā hue

kya hue surat-nigaran KHwab ke

KHwab ke surat-nigaran kya hue

Jaun Eliya

achchhā achchhā ho jā.egā sab kuchh achchhā

achchhā achchhā sab kuchh achchhā ho jā.egā

achchha achchha ho jaega sab kuchh achchha

achchha achchha sab kuchh achchha ho jaega

Imran Shamshad Narmi

kar burā to bhalā nahīñ hotā

kar bhalā to burā nahīñ hotā

kar bura to bhala nahin hota

kar bhala to bura nahin hota

Ibn-e-Mufti

jo kahā vo nahīñ kiyā us ne

vo kiyā jo nahīñ kahā us ne

jo kaha wo nahin kiya us ne

wo kiya jo nahin kaha us ne

Fahmi Badayuni

rah gayā dil meñ ik dard

dil meñ ik dard rah gayā

rah gaya dil mein ek dard sa

dil mein ek dard sa rah gaya

Ajmal Siraj

mohabbat mat kar dil us bevafā se

dil us bevafā se mohabbat mat kar

mohabbat tu mat kar dil us bewafa se

dil us bewafa se mohabbat tu mat kar

Taban Abdul Hai

ek baar phir salām duur jaane vāloñ ko

duur jaane vāloñ ko ek baar phir salām

ek bar phir salam dur jaane walon ko

dur jaane walon ko ek bar phir salam

Imran Shamshad Narmi

nuuh baiThe haiñ chārpā.ī par

chārpā.ī pe nuuh baiThe haiñ

nuh baiThe hain chaarpai par

chaarpai pe nuh baiThe hain

Nooh Narvi

Thahar gayā hai dil jaanā

dil jaanā Thahar gayā hai

Thahar gaya hai dil ka jaana

dil ka jaana Thahar gaya hai

Ajmal Siraj

kaun aatā hai is ḳharābe meñ

is ḳharābe meñ kaun aatā hai

kaun aata hai is KHarabe mein

is KHarabe mein kaun aata hai

Ajmal Siraj

lauTnā chāhiye zindagī taraf

zindagī taraf lauTnā chāhiye

lauTna chahiye zindagi ki taraf

zindagi ki taraf lauTna chahiye

Imran Shamshad Narmi

taqdīr badal do mirī hur jaisā banā do

hur jaisā banā do mirī taqdīr badal do

taqdir badal do meri hur jaisa bana do

hur jaisa bana do meri taqdir badal do

Zawwar Qamri

ham bahakte hue aate haiñ tire darvāze

tere darvāze bahakte hue aate haiñ ham

hum bahakte hue aate hain tere darwaze

tere darwaze bahakte hue aate hain hum

Ahmad Ata

bharvā denā mire kaase ko

mire kaase ko bharvā denā

bharwa dena mere kase ko

mere kase ko bharwa dena

Hammad Niyazi

baḌā āzār-e-jāñ hai vo agarche mehrbāñ hai vo

agarche mehrbāñ hai vo baḌā āzār-e-jāñ hai vo

baDa aazar-e-jaan hai wo agarche mehrban hai wo

agarche mehrban hai wo baDa aazar-e-jaan hai wo

Anees Ansari

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now