Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Zaki Tariq's Photo'

Zaki Tariq

1952 | Ghaziabad, India

Sher of Zaki Tariq

ham bhī kahne lage haiñ raat ko raat

ham bhī goyā ḳharāb hone lage

hum bhi kahne lage hain raat ko raat

hum bhi goya KHarab hone lage

itāb-o-qahr har ik nishān bolegā

maiñ chup rahā to shikasta makān bolegā

itab-o-qahr ka har ek nishan bolega

main chup raha to shikasta makan bolega

roz suntā huuñ maiñ hañsne sadā

kaun ye mere sivā hai mujh meñ

roz sunta hun main hansne ki sada

kaun ye mere siwa hai mujh mein

simTe hue jazboñ ko bikharne nahīñ detā

ye aas lamha hameñ marne nahīñ detā

simTe hue jazbon ko bikharne nahin deta

ye aas ka lamha hamein marne nahin deta

gumān hotā hai mujh ko tumhāre aane

havā idhar se dabe paañv jab guzartī hai

guman hota hai mujh ko tumhaare aane ka

hawa idhar se dabe panw jab guzarti hai

ajnabī ḳhushbū aahaT se mahak uTThā badan

qahqahoñ ke lams se ḳhauf-e-ḳhizāñ raushan huā

ajnabi KHushbu ki aahaT se mahak uTTha badan

qahqahon ke lams se KHauf-e-KHizan raushan hua

mere andar nihāñ hai aks mirā

ā.īne meñ hai aap partav

mere andar nihan hai aks mera

aaine mein hai aap ka partaw

darīda-jaib garebāñ bhī chaak chāhtā hai

vo ishq kyā hai jo dāman ko paak chāhtā hai

darida-jaib gareban bhi chaak chahta hai

wo ishq kya hai jo daman ko pak chahta hai

'zakī' hamārā muqaddar haiñ dhuup ke ḳheme

hameñ na raas kabhī aayā sā.ebān koī

'zaki' hamara muqaddar hain dhup ke KHeme

hamein na ras kabhi aaya saeban koi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now