Sher of Zia Faooqui
pahle thā bahut fāsla bāzār se ghar kā
ab ek hī kamre meñ hai bāzār bhī ghar bhī
pahle tha bahut fasla bazar se ghar ka
ab ek hi kamre mein hai bazar bhi ghar bhi
āñkheñ haiñ ki ab tak usī chaukhaT pe dharī haiñ
detā huuñ zamāne ko magar apnā pata aur
aankhen hain ki ab tak usi chaukhaT pe dhari hain
deta hun zamane ko magar apna pata aur
zindagī ke is safar ne aur kyā mujh ko diyā
ek TuuTā aa.ina do chaar patthar aur maiñ
zindagi ke is safar ne aur kya mujh ko diya
ek TuTa aaina do chaar patthar aur main
shu’ūr-e-tishnagī ik roz meñ puḳhta nahīñ hotā
mire hoñToñ ne sadiyoñ karbalā kī ḳhaak chūmī hai
shu’ur-e-tishnagi ek roz mein puKHta nahin hota
mere honTon ne sadiyon karbala ki KHak chumi hai
ye safar ye Dūbte sūraj kā manzar aur maiñ
jaane kab ho pā.eñge bāham mirā ghar aur maiñ
ye safar ye Dubte suraj ka manzar aur main
jaane kab ho paenge baham mera ghar aur main
badan kī qaid se chhūTā to log pahchāne
tamām 'umr kisī ko mirā pata na milā
badan ki qaid se chhuTa to log pahchane
tamam 'umr kisi ko mera pata na mila
lahū se jin ke hai raushan ye ḳhānqāh-e-junūñ
hamāre sar pe hai saaya unhīñ buzurgoñ kā
lahu se jin ke hai raushan ye KHanqah-e-junun
hamare sar pe hai saya unhin buzurgon ka
ġham-e-hayāt ko yuuñ ḳhush-gavār kar liyā hai
ki ham ne haal ko maazī shumār kar liyā hai
gham-e-hayat ko yun KHush-gawar kar liya hai
ki hum ne haal ko mazi shumar kar liya hai
mat pūchhiye kyā jītne niklā thā maiñ ghar se
ye dekhiye kyā haar ke lauTā huuñ safar se
mat puchhiye kya jitne nikla tha main ghar se
ye dekhiye kya haar ke lauTa hun safar se
kaun jaane aaj bhī karte haiñ kis kā intizār
ye shikasta bām-o-dar rauzan kabūtar aur maiñ
kaun jaane aaj bhi karte hain kis ka intizar
ye shikasta baam-o-dar rauzan kabutar aur main
kyā ḳhabar thī ki tamāshe ko hunar karte hue
'umr kaT jā.egī bāzār ko ghar karte hue
kya KHabar thi ki tamashe ko hunar karte hue
'umr kaT jaegi bazar ko ghar karte hue
kal raat bhī ik chehra hamrāh mire jaagā
kal raat bhī rah-rah kar dīvār lagīñ āñkheñ
kal raat bhi ek chehra hamrah mere jaga
kal raat bhi rah-rah kar diwar lagin aankhen
kal raat bhī thā chaudhvīñ kā chāñd falak par
kal raat bhī ik qāfila niklā thā khañDar se
kal raat bhi tha chaudhwin ka chand falak par
kal raat bhi ek qafila nikla tha khanDar se
merī jholī meñ muravvat ke sivā kuchh bhī na thā
so use bhī yaar logoñ ne mire luuTā bahut
meri jholi mein murawwat ke siwa kuchh bhi na tha
so use bhi yar logon ne mere luTa bahut
ab kahāñ bastī meñ vo ḳhubān-e-vahshat-āshnā
maañg khā letā huuñ ik sāz-e-shikasta ke tufail
ab kahan basti mein wo KHuban-e-wahshat-ashna
mang kha leta hun ek saz-e-shikasta ke tufail
kaun hai jo itne sannāTe meñ hai mahv-e-safar
dasht-e-shab meñ ye ġhubār-e-māh-o-anjum kis liye
kaun hai jo itne sannaTe mein hai mahw-e-safar
dasht-e-shab mein ye ghubar-e-mah-o-anjum kis liye