SEARCH RESULTS
Showing search results for "KHil.at"
MOST RELEVANT MATCHES FOR "KHil.at"
Ghazal
miTTii se bel-buuTe kyaa KHushnumaa ugaa.e
pahnaa ke sabz KHil.at un ko javaa.n banaayaa
Ismail Merathi
Ghazal
qaamat-e-jaa.n ko KHush aayaa thaa kabhii KHil.at-e-ishq
ab isii jaama-e-sad-chaak se KHauf aataa hai
Iftikhar Arif
Nazm
KHak-e-hind
har sub.h hai ye KHidmat KHurshiid-e-pur-ziyaa kii
kirno.n se guu.ndhtaa hai choTii himaaliyaa kii
Chakbast Braj Narayan
DICTIONARY MATCHES
MORE MATCHES FOR "KHil.at"
Mazahiya
KHitaab o KHil.at o darbaar ke liye us ne
na jaane kitne amiiro.n pe jaal Daalaa hai
Dilawar Figar
Ghazal
chaak karte hai.n garebaa.n is faraavaanii se ham
roz KHil.at paate hai.n darbaar-e-uryaanii se ham
Ahmad Javaid
Ghazal
mujhe bhii de rahe the KHil.at-e-vafaa lekin
nazar bachaa ke mai.n darbaar se nikal aayaa
Zafar Iqbal
Ghazal
ek haalat pe basar ho nahii.n saktii merii
jaama-e-KHaak kabhii KHil.at-e-zar me.n rahnaa
Ahmad Javaid
Ghazal
KHil.at pahan ke aane kii thii ghar me.n aarzuu
ye hausla bhii gor-o-kafan se nikal gayaa
Ameer Minai
Ghazal
pahle to navaazaa gayaa mai.n KHil.at-e-Gam se
phir shahriyat-e-mulk-e-vafaa dii ga.ii mujh ko
Qateel Shifai
Ghazal
uryaani-e-tan hai ye ba-az-KHil.at-e-shaahii
ham ko ye tire ishq me.n saamaan hai maujuud



