SEARCH RESULTS
Showing search results for "oye"
MOST RELEVANT MATCHES FOR "oye"
PAGE MATCHES FOR "oye"
DICTIONARY MATCHES
MORE MATCHES FOR "oye"
Quote
Ghalib duniya mein waahid shaa'ir hai jo samajh mein na aaye to dugna maza deta hai....
Mushtaq Ahmad Yusufi
Ghazal
tiir aayaa thaa jidhar se ye mire shahr ke log
kitne saadaa hai.n ki marham bhii vahii.n dekhte hai.n
Amjad Islam Amjad
Ghazal
aa.iye haal-e-dil-e-majruuh suniye dekhiye
kyaa kahaa zaKHmo.n ne kyuu.n Taa.nke sadaa dene lage
Saqib Lakhnavi
Sher
dil me.n vo bhii.D hai ki zaraa bhii nahii.n jagah
aap aa.iye magar ko.ii armaa.n nikaal ke
Jaleel Manikpuri
Ghazal
hai.n tevrii me.n bal to nigaahe.n phirii hu.ii
jaate hai.n aise aane se ausaan jaa.iye
Dagh Dehlvi
Ghazal
is puraanii bevafaa duniyaa kaa ronaa kab talak
aa.iye mil-jul ke ik duniyaa na.ii paidaa kare.n
Nazeer Banarasi
Ghazal
behtar hai ki is bazm se uTh aa.iye 'mohsin'
sarqe ko jahaa.n rutba-e-ilhaam diyaa jaa.e
Mohsin Bhopali
Mazahiya
baada-kasho.n kii asl jagah mai-kade me.n hai
kis ne kahaa ki aap bhii mimbar pe aa.iye
Iqbal Azeem
Ghazal
aap ke sar kii qasam mere sivaa ko.ii nahii.n
be-takalluf aa.iye kamre me.n tanhaa.ii to hai
Akbar Allahabadi
Ghazal
aa.iye charaaG-e-dil aaj hii jalaa.e.n ham
kaisii kal havaa chale ko.ii jaantaa nahii.n
Shamim Karhani
Sher
ik baar aur merii ayaadat ko aa.iye
achchhii tarah se mai.n abhii achchhaa hu.aa nahii.n










