SEARCH RESULTS
Showing search results for "موت"
Ghazal MATCHES FOR "موت"
Ghazal
ek hii naddii ke hai.n ye do kinaare dosto
dostaana zindagii se maut se yaarii rakho
Rahat Indori
Ghazal
qaid-e-hayaat o band-e-Gam asl me.n dono.n ek hai.n
maut se pahle aadmii Gam se najaat paa.e kyuu.n
Mirza Ghalib
Ghazal
rafiiq-e-zindagii thii ab aniis-e-vaqt-e-aaKHir hai
tiraa ai maut ham ye duusraa ehsaan lete hai.n
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai 'KHumaar'
tauhiin-e-mai-kashii kaa mazaa ham se puuchhiye
Khumar Barabankavi
Ghazal
maut kii raah na dekhuu.n ki bin aa.e na rahe
tum ko chaahuu.n ki na aa.o to bulaa.e na bane
Mirza Ghalib
Ghazal
ye samajh kar tujhe ai maut lagaa rakkhaa hai
kaam aataa hai bure vaqt me.n aanaa teraa
Dagh Dehlvi
Ghazal
merii har saa.ns hai is baat kii shaahid ai maut
mai.n ne har lutf ke mauqe pe tujhe yaad kiyaa
Josh Malihabadi
Ghazal
ai taa.ir-e-laahautii us rizq se maut achchhii
jis rizq se aatii ho parvaaz me.n kotaahii
Allama Iqbal
Ghazal
Ahmad Nadeem Qasmi
Ghazal
maa.n kii aaGosh me.n kal maut kii aaGosh me.n aaj
ham ko duniyaa me.n ye do vaqt suhaane se mile
Kaif Bhopali
Ghazal
vo jaan-e-jaa.n nahii.n aataa to maut hii aatii
dil-o-jigar ko kahaa.n tak bhalaa lahuu karte
Haidar Ali Aatish
Ghazal
tum na aa.oge to marne kii hai.n sau tadbiire.n
maut kuchh tum to nahii.n ho ki bulaa bhii na sakuu.n