SEARCH RESULTS
Showing search results for "फ़साने"
Ghazal MATCHES FOR "फ़साने"
Ghazal
vo baat saare fasaane me.n jis kaa zikr na thaa
vo baat un ko bahut naa-gavaar guzrii hai
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
ho.nTo.n pe mohabbat ke fasaane nahii.n aate
saahil pe samundar ke KHazaane nahii.n aate
Bashir Badr
Ghazal
ham na hote to kisii aur ke charche hote
KHilqat-e-shahr to kahne ko fasaane maa.nge
Ahmad Faraz
Ghazal
ham taraste hii taraste hii taraste hii rahe
vo falaane se falaane se falaane se mile
Kaif Bhopali
Ghazal
kabhii kahaa na kisii se tire fasaane ko
na jaane kaise KHabar ho ga.ii zamaane ko
Qamar Jalalvi
Ghazal
KHalq kii be-KHabarii hai ki mirii rusvaa.ii
log mujh ko hii sunaate hai.n fasaane mere
Ahmad Faraz
Ghazal
jo apne taur se ham ne kabhii guzaare the
vo sub.h o shaam to jaise fasaane ho ga.e hai.n
Jaun Eliya
Ghazal
ai dil vo aashiqii ke fasaane kidhar ga.e
vo umr kyaa hu.ii vo zamaane kidhar ga.e
Akhtar Shirani
Ghazal
mai.n maaraa jaa.uu.ngaa pahle kisii fasaane me.n
phir is ke baa'd haqiiqat me.n maaraa jaa.uu.ngaa
Rana Saeed Doshi
Ghazal
tum haqiiqat ko liye baiThe ho to baiThe raho
ye zamaana hai ise har din fasaane chaahiye.n
Rajesh Reddy
Ghazal
sab apne apne fasaane sunaate jaate hai.n
nigaah-e-yaar magar ham-navaa kisii kii nahii.n
Ahmad Faraz
Ghazal
dard kii kahaanii ko ishq ke fasaane ko
daastaan ban.ne me.n der kuchh to lagtii hai
Amjad Islam Amjad
Ghazal
sabaa bhii laa.ii na ko.ii payaam apno.n kaa
sunaa rahii hai fasaane idhar udhar ke mujhe