SEARCH RESULTS
Showing search results for "सितम"
Ghazal MATCHES FOR "सितम"
Ghazal
hu.ii jin se tavaqqo' KHastagii kii daad paane kii
vo ham se bhii ziyaada KHasta-e-teG-e-sitam nikle
Mirza Ghalib
Ghazal
kitnii dilkash ho tum kitnaa dil-juu huu.n mai.n
kyaa sitam hai ki ham log mar jaa.e.nge
Jaun Eliya
Ghazal
yaa rab mujhe mahfuuz rakh us but ke sitam se
mai.n us kii inaayat kaa talabgaar nahii.n huu.n
Akbar Allahabadi
Ghazal
jab un ko tarz-e-sitam aa ga.e to hosh aayaa
buraa ho dil kaa bure vaqt hoshyaar kiyaa
Dagh Dehlvi
Ghazal
Behzad Lakhnavi
Ghazal
merii zabaa.n pe shikva-e-ahl-e-sitam nahii.n
mujh ko jagaa diyaa yahii ehsaan kam nahii.n
Jigar Moradabadi
Ghazal
Allama Iqbal
Ghazal
bharam tere sitam kaa khul chukaa hai
mai.n tujh se aaj kyuu.n sharmaa rahaa huu.n
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
is qadar zabt kahaa.n hai kabhii aa bhii na sakuu.n
sitam itnaa to na kiije ki uThaa bhii na sakuu.n
Mirza Ghalib
Ghazal
duniyaa ke sitam yaad na apnii hii vafaa yaad
ab mujh ko nahii.n kuchh bhii mohabbat ke sivaa yaad
Jigar Moradabadi
Ghazal
tujhe hai mashq-e-sitam kaa malaal vaise hii
hamaarii jaan thii jaa.n par vabaal vaise hii
Ahmad Faraz
Ghazal
ye bhii nayaa sitam hai hinaa to lagaa.e.n Gair
aur us kii daad chaahe.n vo mujh ko dikhaa ke haath
Nizam Rampuri
Ghazal
sitam to ye hai ki vo bhii na ban sakaa apnaa
qubuul ham ne kiye jis ke Gam KHushii kii tarah
Qateel Shifai
Ghazal
'taalib' ko ye kyaa ilm, karam hai ki sitam hai
jaane ke liye ruuTh, manaane ke liye aa