SEARCH RESULTS
Showing search results for "faqat"
Ghazal MATCHES FOR "faqat"
Ghazal
uThaa kar kyo.n na phe.nke.n saarii chiize.n
faqat kamro.n me.n Tahlaa kyo.n kare.n ham
Jaun Eliya
Ghazal
Tahzeeb Hafi
Ghazal
ash.aar mire yuu.n to zamaane ke liye hai.n
kuchh sher faqat un ko sunaane ke liye hai.n
Jan Nisar Akhtar
Ghazal
is KHaana-e-hastii se guzar jaa.uu.ngaa be-laus
saaya huu.n faqat naqsh-ba-diivaar nahii.n huu.n
Akbar Allahabadi
Ghazal
zaraa sii baat thii andesha-e-ajam ne use
ba.Dhaa diyaa hai faqat zeb-e-daastaa.n ke liye
Allama Iqbal
Ghazal
kahte hai.n mohabbat faqat us haal ko 'bismil'
jis haal ko ham un se bhii aksar nahii.n kahte
Bismil Saeedi
Ghazal
faqat nigaah se hotaa hai faisla dil kaa
na ho nigaah me.n shoKHii to dilbarii kyaa hai
Allama Iqbal
Ghazal
mai.n use ahd-shikan kaise samajh luu.n jis ne
aaKHirii KHat me.n ye likkhaa thaa faqat aap kii dost
Ahmad Faraz
Ghazal
Mustafa Zaidi
Ghazal
aalam hai faqat momin-e-jaa.n-baaz kii miiraas
momin nahii.n jo saahib-e-laulaak nahii.n hai
Allama Iqbal
Ghazal
paamaal ham na hote faqat jaur-e-charKH se
aa.ii hamaarii jaan pe aafat ka.ii tarah
Momin Khan Momin
Ghazal
garmi-e-mahfil faqat ik naara-e-mastaana hai
aur vo KHush hai.n ki is mahfil se diivaane ga.e
Khatir Ghaznavi
Ghazal
le de ke apne paas faqat ik nazar to hai
kyuu.n dekhe.n zindagii ko kisii kii nazar se ham
Sahir Ludhianvi
Ghazal
'saajid' to jaan-o-dil se faqat aap kaa hai bas
kyaa aap bhii hai.n us ke bataanaa sahii sahii