kuchh usūloñ kā nasha thā kuchh muqaddas ḳhvāb the
har zamāne meñ shahādat ke yahī asbāb the
TRANSLATION
Intoxication of the principles, and pious dreams were some,
In every age these alone were the reasons for martyrdom.
Sagar Akbarabadi
kuchh usulon ka nasha tha kuchh muqaddas KHwab the
har zamane mein shahadat ke yahi asbab the
TRANSLATION
Intoxication of the principles, and pious dreams were some,
In every age these alone were the reasons for martyrdom.
Sagar Akbarabadi
-
Tags : Famous shayariand 1 more
merī rusvā.ī ke asbāb haiñ mere andar
aadmī huuñ so bahut ḳhvāb haiñ mere andar
meri ruswai ke asbab hain mere andar
aadmi hun so bahut KHwab hain mere andar
ab dekhtā huuñ maiñ to vo asbāb hī nahīñ
lagtā hai rāste meñ kahīñ khul gayā badan
ab dekhta hun main to wo asbab hi nahin
lagta hai raste mein kahin khul gaya badan
-
Tag : Badan
apne jiine ke ham asbāb dikhāte haiñ tumheñ
dosto aao ki kuchh ḳhvāb dikhāte haiñ tumheñ
apne jine ke hum asbab dikhate hain tumhein
dosto aao ki kuchh KHwab dikhate hain tumhein
-
Tag : Khwab
TukḌe ka.ī ik dil ke maiñ aapas meñ siye haiñ
phir sub.h talak rone ke asbāb kiye haiñ
TukDe kai ek dil ke main aapas mein siye hain
phir subh talak rone ke asbab kiye hain
us ke asbāb se niklā hai pareshāñ kāġhaz
baat itnī thī magar ḳhuub uchhālī ham ne
us ke asbab se nikla hai pareshan kaghaz
baat itni thi magar KHub uchhaali hum ne
kabhī to mimbar-o-mehrāb tak bhī aa.egā
ye qahr qahr ke asbāb tak bhī aa.egā
kabhi to mimbar-o-mehrab tak bhi aaega
ye qahr qahr ke asbab tak bhi aaega
yahī bahut the mujhe naan o aab o sham.a o gul
safar-nazhād thā asbāb muḳhtasar rakkhā
yahi bahut the mujhe nan o aab o shama o gul
safar-nazhad tha asbab muKHtasar rakkha