Sher on Self-Praise
Many of us are mesmerized
by our own dear selves just by instinct. This is a kind of narcissism which takes us to indulge in self-praise. It may not be a very healthy way of conducting oneself but it affords us an opportunity to study human characters. Urdu poetry has developed a discourse of its own kind around this subject. Some cases in point are here for you to appraise.
aur 'farāz' chāhiyeñ kitnī mohabbateñ tujhe
maaoñ ne tere naam par bachchoñ kā naam rakh diyā
aur 'faraaz' chahiyen kitni mohabbaten tujhe
maon ne tere nam par bachchon ka nam rakh diya
haiñ aur bhī duniyā meñ suḳhan-var bahut achchhe
kahte haiñ ki 'ġhālib' kā hai andāz-e-bayāñ aur
hain aur bhi duniya mein suKHan-war bahut achchhe
kahte hain ki 'ghaalib' ka hai andaz-e-bayan aur
hogā koī aisā bhī ki 'ġhālib' ko na jaane
shā.ir to vo achchhā hai pa badnām bahut hai
hoga koi aisa bhi ki 'ghaalib' ko na jaane
shair to wo achchha hai pa badnam bahut hai
aane vaalī nasleñ tum par faḳhr kareñgī ham-asro
jab bhī un ko dhyān aa.egā tum ne 'firāq' ko dekhā hai
aane wali naslen tum par faKHr karengi ham-asro
jab bhi un ko dhyan aaega tum ne 'firaq' ko dekha hai
tirī zamīñ se uTheñge to āsmāñ hoñge
ham aise log zamāne meñ phir kahāñ hoñge
teri zamin se uThenge to aasman honge
hum aise log zamane mein phir kahan honge
kabhī 'farāz' se aa kar milo jo vaqt mile
ye shaḳhs ḳhuub hai ash.ār ke alāva bhī
kabhi 'faraaz' se aa kar milo jo waqt mile
ye shaKHs KHub hai ashaar ke alawa bhi
saare aalam par huuñ maiñ chhāyā huā
mustanad hai merā farmāyā huā
sare aalam par hun main chhaya hua
mustanad hai mera farmaya hua
DhūñDoge agar mulkoñ mulkoñ milne ke nahīñ nāyāb haiñ ham
jo yaad na aa.e bhuul ke phir ai ham-nafaso vo ḳhvāb haiñ ham
DhunDoge agar mulkon mulkon milne ke nahin nayab hain hum
jo yaad na aae bhul ke phir ai ham-nafaso wo KHwab hain hum
merī ghuTTī meñ paḌī thī ho ke hal urdu zabāñ
jo bhī maiñ kahtā gayā husn-e-bayāñ bantā gayā
meri ghuTTi mein paDi thi ho ke hal urdu zaban
jo bhi main kahta gaya husn-e-bayan banta gaya
-
Tag : Urdu
apnā lahū bhar kar logoñ ko baañT ga.e paimāne log
duniyā bhar ko yaad raheñge ham jaise dīvāne log
apna lahu bhar kar logon ko banT gae paimane log
duniya bhar ko yaad rahenge hum jaise diwane log
mirī shā.erī meñ na raqs-e-jām na mai kī rañg-fishāniyāñ
vahī dukh-bharoñ kī hikāyateñ vahī dil-jaloñ kī kahāniyāñ
meri shaeri mein na raqs-e-jam na mai ki rang-fishaniyan
wahi dukh-bharon ki hikayaten wahi dil-jalon ki kahaniyan
aur hote haiñ jo mahfil meñ ḳhamosh aate haiñ
āñdhiyāñ aatī haiñ jab hazrat-e-'josh' aate haiñ
aur hote hain jo mahfil mein KHamosh aate hain
aandhiyan aati hain jab hazrat-e-'josh' aate hain
merā har sher hai ik rāz-e-haqīqat 'beḳhud'
maiñ huuñ urdu kā 'nazīrī' mujhe tū kyā samjhā
mera har sher hai ek raaz-e-haqiqat 'beKHud'
main hun urdu ka 'naziri' mujhe tu kya samjha
-
Tags : Sherand 1 more
na dekhe hoñge rind-e-lā-ubālī tum ne 'beḳhud' se
ki aise log ab āñkhoñ se ojhal hote jaate haiñ
na dekhe honge rind-e-la-ubaali tum ne 'beKHud' se
ki aise log ab aankhon se ojhal hote jate hain
'mīr' kā tarz apnāyā sab ne lekin ye andāz kahāñ
'āzmī'-sāhib aap kī ġhazleñ sun sun kar sab hairāñ haiñ
'mir' ka tarz apnaya sab ne lekin ye andaz kahan
'azmi'-sahib aap ki ghazlen sun sun kar sab hairan hain