Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mushafi Ghulam Hamdani's Photo'

Mushafi Ghulam Hamdani

1747 - 1824 | Lucknow, India

One of the most prolific 18th century poets, contemporary of Mir Taqi Mir.

One of the most prolific 18th century poets, contemporary of Mir Taqi Mir.

TOP 20 SHAYARI of Mushafi Ghulam Hamdani

'mus.hafī' ham to ye samjhe the ki hogā koī zaḳhm

tere dil meñ to bahut kaam rafū niklā

'mushafi' hum to ye samjhe the ki hoga koi zaKHm

tere dil mein to bahut kaam rafu ka nikla

baal apne baḌhāte haiñ kis vāste dīvāne

kyā shahr-e-mohabbat meñ hajjām nahīñ hotā

baal apne baDhate hain kis waste diwane

kya shahr-e-mohabbat mein hajjam nahin hota

ai 'mus.hafī' in se mohabbat na kījiyo

zālim ġhazab hotī haiñ ye dillī vāliyāñ

ai 'mushafi' tu in se mohabbat na kijiyo

zalim ghazab hi hoti hain ye dilli waliyan

āñkhoñ ko phoḌ Dālūñ dil ko toḌ Dālūñ

ishq pakaḌ kar gardan maroḌ Dālūñ

aankhon ko phoD Dalun ya dil ko toD Dalun

ya ishq ki pakaD kar gardan maroD Dalun

āsāñ nahīñ dariyā-e-mohabbat se guzarnā

yaañ nuuh kashtī ko bhī tūfān Dar hai

aasan nahin dariya-e-mohabbat se guzarna

yan nuh ki kashti ko bhi tufan ka Dar hai

āstīñ us ne jo kuhnī tak chaḌhā.ī vaqt-e-sub.h

aa rahī saare badan be-hijābī haath meñ

aastin us ne jo kuhni tak chaDhai waqt-e-subh

aa rahi sare badan ki be-hijabi hath mein

allāh-re tere silsila-e-zulf kashish

jaatā hai udhar khiñchā kā.enāt

allah-re tere silsila-e-zulf ki kashish

jata hai ji udhar hi khincha kaenat ka

abhī āġhāz-e-mohabbat hai kuchh is anjām

tujh ko ma.alūm hai ai dīda-e-nam kyā hogā

abhi aaghaz-e-mohabbat hai kuchh is ka anjam

tujh ko malum hai ai dida-e-nam kya hoga

ik din to lipaT jaa.e tasavvur se tere

ye bhī dil-e-nāmard ko jur.at nahīñ miltī

ek din to lipaT jae tasawwur hi se tere

ye bhi dil-e-namard ko jurat nahin milti

ai kaash koī sham.a ke le ke mujhe paas

ye baat kahe us se ki parvāna hai ye bhī

ai kash koi shama ke le ja ke mujhe pas

ye baat kahe us se ki parwana hai ye bhi

is vāste furqat meñ jiitā mujhe rakkhā hai

ya.anī maiñ tirī sūrat jab yaad karūñ ro.uuñ

is waste furqat mein jita mujhe rakkha hai

yani main teri surat jab yaad karun roun

is rañg se apne ghar na jaanā

dāman tirā ḳhuuñ meñ tar bahut hai

is rang se apne ghar na jaana

daman tera KHun mein tar bahut hai

ek naale pe hai ma.āsh apnī

ham ġharīboñ hai yahī merāj

ek nale pe hai maash apni

hum gharibon ki hai yahi meraj

ma.alūm nahīñ mujh ko ki jāvegā kidhar ko

yuuñ siina tirā chāk-e-garebāñ se nikal kar

malum nahin mujh ko ki jawega kidhar ko

yun sina tera chaak-e-gareban se nikal kar

kūcha-e-zulf meñ phirtā huuñ bhaTaktā kab

shab-e-tārīk hai aur miltī nahīñ raah kahīñ

kucha-e-zulf mein phirta hun bhaTakta kab ka

shab-e-tarik hai aur milti nahin rah kahin

us ne gaalī mujhe ho ke itāb-ālūda

aur maiñ saada use lutf-e-zabānī samjhā

us ne gali mujhe di ho ke itab-aluda

aur main sada use lutf-e-zabani samjha

ye kah ke baiTh rahūñ huuñ jo apne ghar meñ zarā

to dil kahe hai ye ghabrā ke ''maiñ to jaatā hūñ''

ye kah ke baiTh rahun hun jo apne ghar mein zara

to dil kahe hai ye ghabra ke main to jata hun

us ke jaane se mirā dil hai mire siine meñ

dam mehmān charāġh-e-saharī sūrat

us ke jaane se mera dil hai mere sine mein

dam ka mehman charagh-e-sahari ki surat

kamar-e-yār ke mazkūr ko jaane de miyāñ

qadam is meñ na rakh raah ye bārīk hai dil

kamar-e-yar ke mazkur ko jaane de miyan

tu qadam is mein na rakh rah ye barik hai dil

hovegī sub.h raushan ik dam meñ vasl shab

band-e-qabā ko apne zālim na baaz karnā

howegi subh raushan ek dam mein wasl ki shab

band-e-qaba ko apne zalim na baz karna

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now